apne bad-guman se
apne bad-gumāñ se
tum samajhtī ho ki maiñ sar-ḳhush-e-taufīq-e-nashāt
aaj vaisā hī balā-kosh huuñ jaise kabhī thā
tum ne shāyad ye sunā hai ki is añdherī meñ bhī
maiñ usī tarah jalā.e huuñ umañgoñ kā diyā
ai mirī jān-e-vafā rañj ko rāhat na kaho
ek afasāna-e-sāda ko haqīqat na kaho
tum ne tanzan ye kahā hai ki mirā shaġhl-e-adab
mirī taskīñ kā bahar-hāl sahārā hogā
ai mirī turfa-jafākār vo din duur nahīñ
jab mujhe merā adab jaan se pyārā hogā
aaj lekin sar-e-bāzār ye dhan luTtā hai
naġhma-o-sher kā har saañs pe dam ghuTtā hai
aaj har phuul ke pahlū se dhuāñ uThtā hai
nik.hat-o-rañg nahīñ aaj kā mauzū-e-suḳhan
aaj dil-ḳhasta-o-maj.hūl hai ehsās-e-jamāl
aaj ik biphrī huī chīḳh hai fankār kā fan
aaj har sinf-e-latāfat meñ hai bevpār kā ruup
chāñdnī kyā ho jahāñ khul ke nikaltī na ho dhuup
zindagī kā ye tazabzub ye jumūd-e-vijdān
rāh-rau ke liye ik moḌ hai manzil to nahīñ
daur-e-tafrīt meñ ye kashmakash-e-zauq-e-hayāt
ruḳh badaltī huī ik dhaar hai sāhil to nahīñ
kyā karūñ aisī masarrat kā sahārā le kar
paar jaatī nahīñ kashtī bhī kinārā le kar
haañ ye sach hai ki yahāñ mil ga.e haiñ kuchh ahbāb
jin ko ab tak nahīñ ehsās-e-javāñ-margī-e-dil
zindagī un ke liye rakhtī hai kuchh imkānāt
bhūle-bisre vo sajā lete haiñ apnī mahfil
tum magar ḳhud hī kaho aaj kī duniyā kyā hai
ye to socho ki zamāne kā taqāzā kyā hai
aaj insān kī qismat meñ farāġhat hī nahīñ
vaqt vo hai ki koī vaqt kī qīmat hī nahīñ
yuuñ har ik jaan pe taarī hai zarūrat-mandī
sab zarūrī hai mohabbat kī zarūrat hī nahīñ
aise māhaul meñ unvān-e-tarab kyā hogā
jab har ik saañs pe kahtī ho ki ab kyā hogā
apne bad-guman se
tum samajhti ho ki main sar-KHush-e-taufiq-e-nashat
aaj waisa hi bala-kosh hun jaise kabhi tha
tum ne shayad ye suna hai ki is andheri mein bhi
main usi tarah jalae hun umangon ka diya
ai meri jaan-e-wafa ranj ko rahat na kaho
ek afasana-e-sada ko haqiqat na kaho
tum ne tanzan ye kaha hai ki mera shaghl-e-adab
meri taskin ka bahar-haal sahaara hoga
ai meri turfa-jafakar wo din dur nahin
jab mujhe mera adab jaan se pyara hoga
aaj lekin sar-e-bazar ye dhan luTta hai
naghma-o-sher ka har sans pe dam ghuTta hai
aaj har phul ke pahlu se dhuan uThta hai
nikhat-o-rang nahin aaj ka mauzu-e-suKHan
aaj dil-KHasta-o-majhul hai ehsas-e-jamal
aaj ek biphri hui chiKH hai fankar ka fan
aaj har sinf-e-latafat mein hai bewpar ka rup
chandni kya ho jahan khul ke nikalti na ho dhup
zindagi ka ye tazabzub ye jumud-e-wijdan
rah-rau ke liye ek moD hai manzil to nahin
daur-e-tafrit mein ye kashmakash-e-zauq-e-hayat
ruKH badalti hui ek dhaar hai sahil to nahin
kya karun aisi masarrat ka sahaara le kar
par jati nahin kashti bhi kinara le kar
han ye sach hai ki yahan mil gae hain kuchh ahbab
jin ko ab tak nahin ehsas-e-jawan-margi-e-dil
zindagi un ke liye rakhti hai kuchh imkanat
bhule-bisre wo saja lete hain apni mahfil
tum magar KHud hi kaho aaj ki duniya kya hai
ye to socho ki zamane ka taqaza kya hai
aaj insan ki qismat mein faraghat hi nahin
waqt wo hai ki koi waqt ki qimat hi nahin
yun har ek jaan pe tari hai zarurat-mandi
sab zaruri hai mohabbat ki zarurat hi nahin
aise mahaul mein unwan-e-tarab kya hoga
jab har ek sans pe kahti ho ki ab kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.