apne chaaron jaanib dekho
appī vo din kab ā.eñge
jab ghar meñ chāval pakkeñge
soñdhī soñdhī daal banegī
aur ham sab mil kar khā.eñge
appī kab tak pahnūñgā maiñ
ye paivand lagā pājāma
mangal ke bāzār se mujh ko
nekar jarsī dilvā do nā
mere sab sāthī paḌhte haiñ
maiñ schōl na jā.ūñgā kyā
vo sab raajā ban jā.eñge
maiñ an-paḌh kahlā.ūñgā kyā
appī bechārī kyā bole
us ke abbū ruuTh ga.e haiñ
maañ kī bīmārī ke hāthoñ
sundar sapne TuuT ga.e haiñ
ai mere dil vaale bachcho
apne chāroñ jānib dekho
aise kumbe mil jā.eñge
un ko bhī jiine kā haq do
appi wo din kab aaenge
jab ghar mein chawal pakkenge
sondhi sondhi dal banegi
aur hum sab mil kar khaenge
appi kab tak pahnunga main
ye paiwand laga pajama
mangal ke bazar se mujh ko
nekar jarsi dilwa do na
mere sab sathi paDhte hain
main school na jaunga kya
wo sab raja ban jaenge
main an-paDh kahlaunga kya
appi bechaari kya bole
us ke abbu ruTh gae hain
man ki bimari ke hathon
sundar sapne TuT gae hain
ai mere dil wale bachcho
apne chaaron jaanib dekho
aise kumbe mil jaenge
un ko bhi jine ka haq do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.