apne dariya ki pyas
sadāqatoñ ke junūñ kā
ham aisā ā.īna haiñ
jo apne aksoñ kā maan kho kar
shikastagī kā azaab sahne meñ mubtalā hai
ham aise tūfāñ kā mājrā haiñ
jo TūTte phūTte chaTaḳhte se
apne a.asāb ke bikharne kī aas meñ haiñ
jo tishna-lab sāhiloñ kī mānind
apne dariyā kī pyaas meñ haiñ
jo dasht-e-imkān kī havāoñ kī
barguzīda magar darīda libās meñ haiñ
sadaqaton ke junun ka
hum aisa aaina hain
jo apne akson ka man kho kar
shikastagi ka azab sahne mein mubtala hai
hum aise tufan ka majra hain
jo TuTte phuTte chaTaKHte se
apne aasab ke bikharne ki aas mein hain
jo tishna-lab sahilon ki manind
apne dariya ki pyas mein hain
jo dasht-e-imkan ki hawaon ki
barguzida magar darida libas mein hain
- Book : siip-volume-47 (Pg. 113)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.