apne dil ki shahzadi
ai mere dil kī shahzādī shahzādī aur phir doshīza
ai chāñd sitāroñ kī devī devī se ziyāda pākīza
ai sabza-zāroñ kī hirnī ai barkhā kī mīThī koyal
ai sub.h ke māthe kī shabnam ai shaam kī āñkhoñ kā kājal
ai ḳhvāb kī malika malika-e-dil dil kī dhaḌkan dhaḌkan kā sukūñ
ai chashm kī raunaq raunaq-e-jāñ jaañ kā naġhma naġhme kā fusūñ
ai niiñd kī mastī mastī-e-mai mai kī ḳhushbū ḳhushbū-e-iram
ai maah kī zau zau kī maujeñ maujoñ kī shab shab kā album
ai bholī kaliyoñ kī sāthī ai chanchal lahroñ kī raanī
ik baat maiñ tujh se kahtā huuñ dānā.ī samajh yā nādānī
maiñ garche ravish se duniyā kī bezār sā hotā jaatā huuñ
har gaam pe Thokar khā khā ke taqdīr ko rotā jaatā huuñ
merī ġhamgīn nigāhoñ meñ sunsān haiñ ye manzar saare
bastī vaadī dariyā sahrā kohsār chaman sūraj taare
phir bhī tū agar apnī zulfeñ mere shānoñ par bikhrā.e
kāñToñ se bharī merī duniyā phūloñ kī jannat ho jaa.e
phir taaza jaan sī aa jaa.e mere murjhā.e gulshan meñ
phir duniyā-bhar kī ra.anā.ī aa jaa.e simaT ke dāman meñ
mil jaa.e agar tū qismat se to har ne.amat ko Thukrā duuñ
pā jā.ūñ jo terī jannat ko to is jannat ko Thukrā duuñ
duniyā kī nazroñ se chhup kar maiñ duur bahut ābādī se
yuuñ aksar bāteñ kartā huuñ apne dil kī shahzādī se
lekin rangīn tasavvur se kab zulf-e-shauq sañvartī hai
tadbīr ke sundar sapnoñ par taqdīr tabassum kartī hai
tū aish-o-tarab kī parvarda mujh par bad-baḳhtī kā saaya
tū hai ik duḳhtar-e-ahl-e-zar maiñ huuñ ik shā.ir-e-be-māya
mere liye ik TuuTā chhappar ḳhud apnī musalsal mehnat kā
tere liye ik piilī koThī ā.īna sarāpā rishvat kā
terā kāshāna hotā hai bijlī ke tāroñ se raushan
aur mere taaq meñ rakkhā hai bas ek charāġh-e-be-roġhan
tujh ko hai shikāyat phūloñ ke bistar par niiñd na aane kī
aur kankrīlī saḌkoñ par bhī aadat hai mirī so jaane kī
tere to dastarḳhvān pe hai har ik ne.amat kī arzānī
maiñ kuchh sūkhe TukḌe khā kar pī letā huuñ thoḌā paanī
tū aksar nā-ḳhush rahtī hai resham atlas bānāt meñ bhī
maiñ ek phaTe kurte meñ ḳhush jaaḌā garmī barsāt meñ bhī
terī to daulat ke baa.is begāne tujhe apnāte haiñ
aur merī ġhurbat ke baa.is apne bhī mujhe Thukrāte haiñ
terī qismat meñ sab kuchh hai ashkoñ ke sivā ai māh-jabīñ
merī qismat meñ shāyad hai ashkoñ ke sivā aur kuchh bhī nahīñ
kis tarah 'salām' maiñ toḌūñ phir tafrīq kī in dīvāroñ ko
zarre kaise pā sakte haiñ aflāk ke ūñche tāroñ ko
ai kaash kisī sūrat palla donoñ kā barābar ho jaatā
yā tū hī muflis ho jaatī yā maiñ hī tavangar ho jaatā
ai mere dil ki shahzadi shahzadi aur phir doshiza
ai chand sitaron ki dewi dewi se ziyaada pakiza
ai sabza-zaron ki hirni ai barkha ki miThi koyal
ai subh ke mathe ki shabnam ai sham ki aankhon ka kajal
ai KHwab ki malika malika-e-dil dil ki dhaDkan dhaDkan ka sukun
ai chashm ki raunaq raunaq-e-jaan jaan ka naghma naghme ka fusun
ai nind ki masti masti-e-mai mai ki KHushbu KHushbu-e-iram
ai mah ki zau zau ki maujen maujon ki shab shab ka album
ai bholi kaliyon ki sathi ai chanchal lahron ki rani
ek baat main tujh se kahta hun danai samajh ya nadani
main garche rawish se duniya ki bezar sa hota jata hun
har gam pe Thokar kha kha ke taqdir ko rota jata hun
meri ghamgin nigahon mein sunsan hain ye manzar sare
basti wadi dariya sahra kohsar chaman suraj tare
phir bhi tu agar apni zulfen mere shanon par bikhrae
kanTon se bhari meri duniya phulon ki jannat ho jae
phir taza jaan si aa jae mere murjhae gulshan mein
phir duniya-bhar ki ranai aa jae simaT ke daman mein
mil jae agar tu qismat se to har neamat ko Thukra dun
pa jaun jo teri jannat ko to is jannat ko Thukra dun
duniya ki nazron se chhup kar main dur bahut aabaadi se
yun aksar baaten karta hun apne dil ki shahzadi se
lekin rangin tasawwur se kab zulf-e-shauq sanwarti hai
tadbir ke sundar sapnon par taqdir tabassum karti hai
tu aish-o-tarab ki parwarda mujh par bad-baKHti ka saya
tu hai ek duKHtar-e-ahl-e-zar main hun ek shair-e-be-maya
mere liye ek TuTa chhappar KHud apni musalsal mehnat ka
tere liye ek pili koThi aaina sarapa rishwat ka
tera kashana hota hai bijli ke taron se raushan
aur mere taq mein rakkha hai bas ek charagh-e-be-roghan
tujh ko hai shikayat phulon ke bistar par nind na aane ki
aur kankrili saDkon par bhi aadat hai meri so jaane ki
tere to dastarKHwan pe hai har ek neamat ki arzani
main kuchh sukhe TukDe kha kar pi leta hun thoDa pani
tu aksar na-KHush rahti hai resham atlas banat mein bhi
main ek phaTe kurte mein KHush jaDa garmi barsat mein bhi
teri to daulat ke bais begane tujhe apnate hain
aur meri ghurbat ke bais apne bhi mujhe Thukraate hain
teri qismat mein sab kuchh hai ashkon ke siwa ai mah-jabin
meri qismat mein shayad hai ashkon ke siwa aur kuchh bhi nahin
kis tarah 'salam' main toDun phir tafriq ki in diwaron ko
zarre kaise pa sakte hain aflak ke unche taron ko
ai kash kisi surat palla donon ka barabar ho jata
ya tu hi muflis ho jati ya main hi tawangar ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.