apne dil mein Dar
apne dil meñ Dar ho to ye bādal kis ko lubhā sakte haiñ
apne dil meñ Dar ho to sab ruteñ Darāonī lagtī haiñ aur apnī taraf hī gardan
jhuk jaatī hai
ye to apnā hausla thā
itne andeshoñ meñ bhī
nazreñ apnī jānib nahīñ uThīñ aur is ghanghor ghane kohre meñ jā Duubī haiñ
aur ab merī saarī duniyā is kohre meñ nahā.ī huī haryāval kā hissa hai
merī ḳhushiyāñ bhī aur Dar bhī
aur isī raste par maiñ ne lohe ke halqoñ meñ
ik qaidī ko dekhā
aahan chehra sipāhī kī jarsī kā rag us qaidī ke ruḳh par thā
har andesha to ik kunDī hai jo dil ko apnī jānib khīñch ke rakhtī hai aur vo qaidī bhī
khichā huā thā apne dil ke ḳhauf kī jānib jis kī koī rut nahīñ hotī
maiñ bhī apne andeshoñ kā qaidī huuñ lekin us qaidī ke andeshe to
ik mere sivā sab ke haiñ
ik vahī apne apne dukh kī kunDī
jis ke khichāo se ik ik gardan apnī jānib jhukī huī hai
aise meñ ab kaun ghaTāoñ bharī us sub.h-e-bahārāñ ko dekhegā
jo in bor lade andeshoñ par yuuñ jhukī huī hai aamoñ ke bāġhoñ meñ
mirī ruuh ke sāmne
apne dil mein Dar ho to ye baadal kis ko lubha sakte hain
apne dil mein Dar ho to sab ruten Daraoni lagti hain aur apni taraf hi gardan
jhuk jati hai
ye to apna hausla tha
itne andeshon mein bhi
nazren apni jaanib nahin uThin aur is ghanghor ghane kohre mein ja Dubi hain
aur ab meri sari duniya is kohre mein nahai hui haryawal ka hissa hai
meri KHushiyan bhi aur Dar bhi
aur isi raste par main ne lohe ke halqon mein
ek qaidi ko dekha
aahan chehra sipahi ki jarsi ka rag us qaidi ke ruKH par tha
har andesha to ek kunDi hai jo dil ko apni jaanib khinch ke rakhti hai aur wo qaidi bhi
khicha hua tha apne dil ke KHauf ki jaanib jis ki koi rut nahin hoti
main bhi apne andeshon ka qaidi hun lekin us qaidi ke andeshe to
ek mere siwa sab ke hain
ek wahi apne apne dukh ki kunDi
jis ke khichao se ek ek gardan apni jaanib jhuki hui hai
aise mein ab kaun ghaTaon bhari us subh-e-bahaaran ko dekhega
jo in bor lade andeshon par yun jhuki hui hai aamon ke baghon mein
meri ruh ke samne
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 556)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.