apne ganw mein
jab kisī fursat meñ ham aate haiñ apne gaañv meñ
kyā batā.eñ kyā ḳhushī paate haiñ apne gaañv meñ
roz ghar se ham nikalte haiñ Tahalne ke liye
saath ho jaate haiñ kuchh bachche bhī chalne ke liye
kab kamī hotī hai kuchh bhī dil bahalne ke liye
pyaar ke jab giit ham gaate haiñ apne gaañv meñ
kyā batā.eñ kyā ḳhushī paate haiñ apne gaañv meñ
saaf paanī lahlahāte khet pākīza havā
sīdhe saade log phir us kī mohabbat kī adā
kab kamī hotī hai kuchh bhī dil bahalne ke liye
pyaar ke jab giit ham gaate haiñ apne gaañv meñ
kyā batā.eñ kyā ḳhushī paate haiñ apne gaañv meñ
us kī miTTī se bane us kī havāoñ meñ baḌhe
phuul kī sūrat usī kī god meñ ham bhī khile
aaj bhī qaa.em haiñ us kī shafqatoñ ke silsile
ham kahīñ hoñ dil magar paate haiñ apne gaañv meñ
kyā batā.eñ kyā ḳhushī paate haiñ apne gaañv meñ
jab kisi fursat mein hum aate hain apne ganw mein
kya bataen kya KHushi pate hain apne ganw mein
roz ghar se hum nikalte hain Tahalne ke liye
sath ho jate hain kuchh bachche bhi chalne ke liye
kab kami hoti hai kuchh bhi dil bahalne ke liye
pyar ke jab git hum gate hain apne ganw mein
kya bataen kya KHushi pate hain apne ganw mein
saf pani lahlahate khet pakiza hawa
sidhe sade log phir us ki mohabbat ki ada
kab kami hoti hai kuchh bhi dil bahalne ke liye
pyar ke jab git hum gate hain apne ganw mein
kya bataen kya KHushi pate hain apne ganw mein
us ki miTTi se bane us ki hawaon mein baDhe
phul ki surat usi ki god mein hum bhi khile
aaj bhi qaem hain us ki shafqaton ke silsile
hum kahin hon dil magar pate hain apne ganw mein
kya bataen kya KHushi pate hain apne ganw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.