apne logon ke nam
ġharīb logo, sitam-gazīda ajiib logo
tumhārī āñkheñ jo muntazir haiñ
ki koī īsā-nafas tumhāre
burīda ḳhvāboñ kī laash uThā kar
paḌhegā phir se vo ism-e-āzam
ki jis se ye ḳhvāb jī uTheñge
ġharīb logo, sitam-gazīda ajiib logo
ye jaan lo tum, ki vo payambar
diloñ meñ maujūd hai tumhāre
tum apne baazū kamāñ karoge
tum apne siine sipar karoge
to phir vo īsā-nafas tumhāre
burīda ḳhvāboñ ko zindagī kī naved degā
agar yūñhī sar jhuke rahe to
ġhanīm is baar ḳhvāb kyā haiñ
tumhārī āñkheñ hī noch legā
tumhārī āñkhoñ meñ jo sharāre haiñ
vo sharāre nahīñ raheñge
tumhāre pyāre nahīñ raheñge
ġharīb logo, sitam-gazīda ajiib logo
uTho ki ab vaqt aa gayā hai
gharib logo, sitam-gazida ajib logo
tumhaari aankhen jo muntazir hain
ki koi isa-nafas tumhaare
burida KHwabon ki lash uTha kar
paDhega phir se wo ism-e-azam
ki jis se ye KHwab ji uThenge
gharib logo, sitam-gazida ajib logo
ye jaan lo tum, ki wo payambar
dilon mein maujud hai tumhaare
tum apne bazu kaman karoge
tum apne sine sipar karoge
to phir wo isa-nafas tumhaare
burida KHwabon ko zindagi ki nawed dega
agar yunhi sar jhuke rahe to
ghanim is bar KHwab kya hain
tumhaari aankhen hi noch lega
tumhaari aankhon mein jo sharare hain
wo sharare nahin rahenge
tumhaare pyare nahin rahenge
gharib logo, sitam-gazida ajib logo
uTho ki ab waqt aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.