apne nam ek nazm
use dukh ke saath byāhā gayā
ki jab aañkh khulī to sar par sūraj jaltī naañd meñ dhuul
ise dhuup ke saath byāhā gayā
ki jo shaam paḌe se din guzre tak sotī thī
use niiñd ke saath byāhā gayā
ki jo aaj ke ḳhvāb se kal ke ḳhvāb kā saudā kartī thī
use byaah ke saath byāhā gayā
ki jo kashT uThātī dhuup meñ baiThī saa.e se bāteñ kartī thī
use saa.e ke saath byāhā gayā
mallāhoñ ne us kī āñkhoñ kī tārīf nahīñ kī
bachche us ko dekh ke ruke nahīñ
laḌkiyāñ us ke libās pe chauñkīñ nahīñ
use yuuñ dafnāyā jaise machhliyāñ jaal se jaal meñ Dālte haiñ
use yuuñ nahlāyā jaise bārish aabī paudoñ ko nahlā kar ḳhush hotī hai
use shaam ke saath vidā.a kiyā
jab chāñd ghane bādal meñ chhuptā phirtā thā
aur āñkheñ chunñe vaalī machhliyāñ chunī ga.ī thiiñ
aur naav ne naav ke saath gunāh kiyā thā
miTTī paanī ke beTe ye sab kuchh dekh chuke hote to dahshat se pahle mar jaate
ye dariyā din se darvāze par rukā huā hai
din jo āgāhī hai
sub.h ko bistar tah karne
dhuup meñ toshak phailāne
kapḌe bistar-band sukhāne
raat kī battī gul karne
zanjīr hilā kar dekhne kī āgāhī
ye dariyā din se darvāze par rukā huā hai
ye dariyā raat ko andar dar aa.egā
raat ajab pachhtāvā hai
apne dūsre kī pahchān kā
din ko ghar aane
ik nasl kā qarz utārne
kāñTe chubh kar mar jaane kā pachhtāvā
ye raat ye din kyā tābaḌ-toḌ guzarte haiñ
jab uupar paanī chaltā hai
aur nīche miTTī sotī hai
aur koī man meñ pukārtā hai
maulā mujh ko bādal kar de
aur ik pichhlī raat achānak chīḳh kisī ko aa letī hai
aur ghar kā ghar uTh jaatā hai
aur din ke bahlāve meñ raat bitā.ī jaatī hai
is mausam paanī aage aa.egā tum ghar meñ mat sonā
jab chhat kī khachchī jhuk jaa.e
aur paanī chhal-chhal dikhtā ho
tab bāhar sonā achchhā rahtā hai
phir mausam apne mausam ho jaate haiñ
aur rut kannyā pāzeb utaar ke pheñktī hai
phir koī kisī se ye nahīñ kahtā
maulā mujh ko bādal kar de
yā sotī miTTī
yā chaltā paanī
phir koī kisī se kuchh nahīñ kahtā
phir sab apnī sunte haiñ
phir bādal bārish raat zamīñ sab ik chādar meñ sote haiñ
aur ik chādar meñ chalte haiñ
aur hote haiñ aur nahīñ hote haiñ
aur lafz kā vāhid sarmāya ḳhāmoshī hai
aur jo lafz nahīñ sunte haiñ ḳhāmoshī bhī nahīñ sunte haiñ
jab pahlū-dār sutūn se Tek lagā.e laḌkī sotī hai
aur hauz ke paas khaḌe shahzāde
aur un kī bāñdiyāñ
aur saarā shahr
is aan kahīñ chupke se un meñ ho jaanā
aur nahīñ kahnā maiñ aayā huuñ
achchhā hai
āgāhī aur pachhtāve aur aisī maut se jo yaksar nā-ma.alūm meñ hai
use dukh ke sath byaha gaya
ki jab aankh khuli to sar par suraj jalti nand mein dhul
ise dhup ke sath byaha gaya
ki jo sham paDe se din guzre tak soti thi
use nind ke sath byaha gaya
ki jo aaj ke KHwab se kal ke KHwab ka sauda karti thi
use byah ke sath byaha gaya
ki jo kashT uThati dhup mein baiThi sae se baaten karti thi
use sae ke sath byaha gaya
mallahon ne us ki aankhon ki tarif nahin ki
bachche us ko dekh ke ruke nahin
laDkiyan us ke libas pe chaunkin nahin
use yun dafnaya jaise machhliyan jal se jal mein Dalte hain
use yun nahlaya jaise barish aabi paudon ko nahla kar KHush hoti hai
use sham ke sath widaa kiya
jab chand ghane baadal mein chhupta phirta tha
aur aankhen chunne wali machhliyan chuni gai thin
aur naw ne naw ke sath gunah kiya tha
miTTi pani ke beTe ye sab kuchh dekh chuke hote to dahshat se pahle mar jate
ye dariya din se darwaze par ruka hua hai
din jo aagahi hai
subh ko bistar tah karne
dhup mein toshak phailane
kapDe bistar-band sukhane
raat ki batti gul karne
zanjir hila kar dekhne ki aagahi
ye dariya din se darwaze par ruka hua hai
ye dariya raat ko andar dar aaega
raat ajab pachhtawa hai
apne dusre ki pahchan ka
din ko ghar aane
ek nasl ka qarz utarne
kanTe chubh kar mar jaane ka pachhtawa
ye raat ye din kya tabaD-toD guzarte hain
jab upar pani chalta hai
aur niche miTTi soti hai
aur koi man mein pukarta hai
maula mujh ko baadal kar de
aur ek pichhli raat achanak chiKH kisi ko aa leti hai
aur ghar ka ghar uTh jata hai
aur din ke bahlawe mein raat bitai jati hai
is mausam pani aage aaega tum ghar mein mat sona
jab chhat ki khachchi jhuk jae
aur pani chhal-chhal dikhta ho
tab bahar sona achchha rahta hai
phir mausam apne mausam ho jate hain
aur rut kannya pazeb utar ke phenkti hai
phir koi kisi se ye nahin kahta
maula mujh ko baadal kar de
ya soti miTTi
ya chalta pani
phir koi kisi se kuchh nahin kahta
phir sab apni sunte hain
phir baadal barish raat zamin sab ek chadar mein sote hain
aur ek chadar mein chalte hain
aur hote hain aur nahin hote hain
aur lafz ka wahid sarmaya KHamoshi hai
aur jo lafz nahin sunte hain KHamoshi bhi nahin sunte hain
jab pahlu-dar sutun se Tek lagae laDki soti hai
aur hauz ke pas khaDe shahzade
aur un ki bandiyan
aur sara shahr
is aan kahin chupke se un mein ho jaana
aur nahin kahna main aaya hun
achchha hai
aagahi aur pachhtawe aur aisi maut se jo yaksar na-malum mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.