apne sawalon ke jawab mein
chalne do yūñhī qāfla-e-ġham ko zarā der
tum us kī ravānī meñ rukāvaT to na Daalo
tham jaao mire zehn ke be-kār savālo
sau baar huī vaqt ke hāthoñ se hameñ maat
gintā rahe ab kaun zamāne kī futūhāt
lekin tumheñ ik raaz batāte haiñ suno tum
duniyā hameñ ab mashq-e-sitam laakh banā.e
ham uzr-o-vazāhat se haiñ aage nikal aa.e
chalne do yunhi qafla-e-gham ko zara der
tum us ki rawani mein rukawaT to na Dalo
tham jao mere zehn ke be-kar sawalo
sau bar hui waqt ke hathon se hamein mat
ginta rahe ab kaun zamane ki futuhat
lekin tumhein ek raaz batate hain suno tum
duniya hamein ab mashq-e-sitam lakh banae
hum uzr-o-wazahat se hain aage nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.