apne shahr mein fasad
Interesting Fact
Vol. 173, February-March, 1994
safed kabūtaroñ se aaj saarā ākāsh ḳhālī hai
dhuup Darī huī fāḳhta sī lagtī hai
muñDeroñ pe baiThī huī zard hai
kaañp kaañp uThtī hai havā aadmī kī tarah
curfew se bhare hue shahr kī saḌkoñ pe ghoḌoñ kī vahshī Tāpeñ
aag uḌātī haiñ
makān jalte haiñ mire tumhāre
indar hamāre dhuāñ dhuāñ sā kuchh rah rah uThtā hai
daur meñ aur paas meñ bhī zoroñ ke dhamāke hote haiñ
goliyāñ tābaḌ-toḌ sansanātī haiñ
haDDiyoñ meñ utrī jaatī haiñ
din lahū ḳhaak meñ lipTā huā guzartā hai
shaam bhī lahūluhān chhipkilī kī tarah sahmī huī chup-chāp udaas udaas
dhīre se nadī meñ Dūbtī hai
phir siyāh hote hue peḌoñ pe Dher saare gidh
apnī puurī tāqat se apne par phaḌ.phaḌāte haiñ
sannāTā kā.enāt meñ aur bhī gahrātā hai
kuchh dhuāñ dhuāñ sā andar andar mere tumhāre or bhī baḌh jaatā hai
safed kabutaron se aaj sara aakash KHali hai
dhup Dari hui faKHta si lagti hai
munDeron pe baiThi hui zard hai
kanp kanp uThti hai hawa aadmi ki tarah
curfew se bhare hue shahr ki saDkon pe ghoDon ki wahshi Tapen
aag uDati hain
makan jalte hain mere tumhaare
indar hamare dhuan dhuan sa kuchh rah rah uThta hai
daur mein aur pas mein bhi zoron ke dhamake hote hain
goliyan tabaD-toD sansanati hain
haDDiyon mein utri jati hain
din lahu KHak mein lipTa hua guzarta hai
sham bhi lahuluhan chhipkili ki tarah sahmi hui chup-chap udas udas
dhire se nadi mein Dubti hai
phir siyah hote hue peDon pe Dher sare gidh
apni puri taqat se apne par phaDphaDate hain
sannaTa kaenat mein aur bhi gahraata hai
kuchh dhuan dhuan sa andar andar mere tumhaare or bhi baDh jata hai
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 702)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.