apne shahron ke liye dua
pākistān ke saare shahro zinda raho pā.inda raho
raushniyoñ rangoñ kī lahro zinda raho pā.inda raho
bātil se tum kabhī na Darnā
zulm kabhī manzūr na karnā
azmat-o-haibat kī dīvāro zinda raho pā.inda raho
aks paḌeñ jis jagah tumhāre
chamkeñ zamīneñ un kī ziyā se
mere vatan ke chāñd sitāro zinda raho pā.inda raho
mausam aa.eñ guzarte jaa.eñ
tum par rang baraste jaa.eñ
arz-e-ḳhudā pe mahakte bāġho zinda raho pā.inda raho
haq kī razā hai saath tumhāre
merī vafā hai saath tumhāre
na.e ujāloñ ke sar-chashmo zinda raho pā.inda raho
pakistan ke sare shahro zinda raho painda raho
raushniyon rangon ki lahro zinda raho painda raho
baatil se tum kabhi na Darna
zulm kabhi manzur na karna
azmat-o-haibat ki diwaro zinda raho painda raho
aks paDen jis jagah tumhaare
chamken zaminen un ki ziya se
mere watan ke chand sitaro zinda raho painda raho
mausam aaen guzarte jaen
tum par rang baraste jaen
arz-e-KHuda pe mahakte bagho zinda raho painda raho
haq ki raza hai sath tumhaare
meri wafa hai sath tumhaare
nae ujalon ke sar-chashmo zinda raho painda raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.