apne tamashe ka ticket
ye ḳhvāhish to
hamāre shahr ke chiḌiyā-gharoñ ke sher bhī shāyad nahīñ karte
ki sāthī sher un ko dekhne aa.eñ
ticket le kar tamāshe kī tarah
tamāshā ban ke ye jiine kī majbūrī
kahīñ sharmindagī kī shakl meñ muñh par chhapī rahtī haiñ un ke
magar insān?
us kā bas nahīñ chaltā
ki sar ke bal khaḌe ho kar tavajjoh khīñch le sab kī
vahī insāñ
jo ḳhud ko ashraf-o-afzal samajhtā hai
agar mumkin ho to
apne tamāshe ke ticket
ḳhud apne hāthoñ dūsroñ ko bech saktā hai
ye KHwahish to
hamare shahr ke chiDiya-gharon ke sher bhi shayad nahin karte
ki sathi sher un ko dekhne aaen
ticket le kar tamashe ki tarah
tamasha ban ke ye jine ki majburi
kahin sharmindagi ki shakl mein munh par chhapi rahti hain un ke
magar insan?
us ka bas nahin chalta
ki sar ke bal khaDe ho kar tawajjoh khinch le sab ki
wahi insan
jo KHud ko ashraf-o-afzal samajhta hai
agar mumkin ho to
apne tamashe ke ticket
KHud apne hathon dusron ko bech sakta hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 154)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.