apne yazdan se ek sawal mera
apne yazdāñ se pūchhnā hai mujhe
aise ḳhvāboñ meñ raushnī kyoñ hai
jin kī ta.abīr dastaras meñ nahīñ
in umangoñ kī kyā haqīqat hai
jin kā anjām mere bas meñ nahīñ
kyoñ mire rāste ulajhte haiñ
in ghane jañgaloñ kī sarhad se
jin meñ vahshat ke diip jalte haiñ
zindagī ke amiiq rāz-e-nihāñ
sar-ba-sar saath saath chalte haiñ
apne yazdāñ se pūchhnā hai mujhe
kyoñ mire dil meñ terī ḳhvāhish kī
sham.a ik be-qarār jaltī hai
maiñ to ḳhud terā ik havāla huuñ
kyoñ añdheroñ meñ jaañ bhaTaktī hai
tujh ko paane ke rāstoñ meñ agar
yuuñ mirī ḳhaak ḳhāk-e-rāh bane
misl-e-māh-e-tamām tū mujh ko
rāsta kyoñ dikhā nahīñ saktā
in pareshān reg-zāroñ meñ
naḳhl-e-ehsās kyoñ nahīñ miltā
apne yazdāñ se ik savāl mirā
apne yazdan se puchhna hai mujhe
aise KHwabon mein raushni kyon hai
jin ki tabir dastaras mein nahin
in umangon ki kya haqiqat hai
jin ka anjam mere bas mein nahin
kyon mere raste ulajhte hain
in ghane jangalon ki sarhad se
jin mein wahshat ke dip jalte hain
zindagi ke amiq raaz-e-nihan
sar-ba-sar sath sath chalte hain
apne yazdan se puchhna hai mujhe
kyon mere dil mein teri KHwahish ki
shama ek be-qarar jalti hai
main to KHud tera ek hawala hun
kyon andheron mein jaan bhaTakti hai
tujh ko pane ke raston mein agar
yun meri KHak KHak-e-rah bane
misl-e-mah-e-tamam tu mujh ko
rasta kyon dikha nahin sakta
in pareshan reg-zaron mein
naKHl-e-ehsas kyon nahin milta
apne yazdan se ek sawal mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.