Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni apni diwaren

Khalid Karrar

apni apni diwaren

Khalid Karrar

MORE BYKhalid Karrar

    mere aage pīchhe aur

    daa.eñ baa.eñ concrete hai

    maiñ chalūñ to paañv ke nīche concrete hai

    shahr meñ nikalte

    chauk-o-nukkaḌ meñ concrete ke paikar

    aisā lagtā hai concrete mujhe gher rahī hai

    ghar chār-dīvārī meñ concrete hai

    chhat concrete hai jo aksar mujh par

    istehzā.ī qahqahe lagātī hai

    āsmān buland-o-bālā kalas

    lagtā hai concrete meñ ulajh kar rah gayā hai

    mujhe lagtā hai

    chāroñ taraf se concrete ke dev

    dhīre dhīre mirī jānib baḌh rahe haiñ

    maiñ chīḳhnā chāhtā huuñ aur bhāgnā chāhtā huuñ

    ek din maiñ ne koshish

    apne hamsā.e ko āvāz duuñ

    please mujhe yahāñ se nikālo

    merā dam ghuT rahā hai

    lekin merī āvāz us tak na pahuñch sakī

    vo bhī to apnī concrete dīvāroñ meñ qaid hai

    aur chīḳheñ concrete ko paar nahīñ kar saktīñ

    ham sab apnī apnī dīvāroñ ke qaidī haiñ

    mere aage pichhe aur

    daen baen concrete hai

    main chalun to panw ke niche concrete hai

    shahr mein nikalte hi

    chauk-o-nukkaD mein concrete ke paikar

    aisa lagta hai concrete mujhe gher rahi hai

    ghar ki chaar-diwari mein concrete hai

    chhat concrete ki hai jo aksar mujh par

    istehzai qahqahe lagati hai

    aasman ka buland-o-baala kalas

    lagta hai concrete mein ulajh kar rah gaya hai

    mujhe lagta hai

    chaaron taraf se concrete ke dew

    dhire dhire meri jaanib baDh rahe hain

    main chiKHna chahta hun aur bhagna chahta hun

    ek din main ne koshish ki

    apne hamsae ko aawaz dun

    please mujhe yahan se nikalo

    mera dam ghuT raha hai

    lekin meri aawaz us tak na pahunch saki

    wo bhi to apni concrete ki diwaron mein qaid hai

    aur chiKHen concrete ko par nahin kar saktin

    hum sab apni apni diwaron ke qaidi hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now