apni bad-surati par ek nazm
Interesting Fact
(بچپن کا ایک احساس )
bhale hī bad-numā huuñ maiñ
bahut hī bad-numā huuñ maiñ
mire chehre pa lā-tā'dād dhabbe haiñ
mirī rangat bahut kaalī bahut kaalī
maiñ ban-mānus sā dikhtā huuñ
magar phir bhī
maiñ apnī maañ kī nazroñ meñ
mah-e-kāmil ke jaisā huuñ
maiñ apne baap kī āñkhoñ kā taara huuñ
maiñ apne naanā naanī kā dulārā huuñ
mirā daadā mujhe shahzād kahtā hai
mirī daadī mujhe mahtāb kahtī hai
mirī phuppo mire dīdār ko betāb rahtī hai
mirī ḳhāla mujhe apne pisar se kam nahīñ rakhtī
mire chāchū ko behad pyaar hai mujh se
mire māmūñ ko duniyā meñ koī mujh sā nahīñ lagtā
mirī bahneñ mire bhaa.ī
vo mujh par naaz karte haiñ
aur in sab logoñ se baḌh kar
vo hastī hai
ki sattar maaoñ se baḌh kar jise mujh se mohabbat hai
to achchhā thā
mirī sūrat pe koī tabsira karne se pahle tum inheñ bhī dhyān meñ rakhte
bahut hassās dil hai jin ke siine meñ
jinheñ maiñ jaañ se pyārā huuñ
ḳhudā kā ḳhauf to karte
ki sattar maaoñ se baḌh kar vo mujh se pyaar kartā hai
bhale hi bad-numa hun main
bahut hi bad-numa hun main
mere chehre pa la-ta'dad dhabbe hain
meri rangat bahut kali bahut kali
main ban-manus sa dikhta hun
magar phir bhi
main apni man ki nazron mein
mah-e-kaamil ke jaisa hun
main apne bap ki aankhon ka tara hun
main apne nana nani ka dulara hun
mera dada mujhe shahzad kahta hai
meri dadi mujhe mahtab kahti hai
meri phuppo mere didar ko betab rahti hai
meri KHala mujhe apne pisar se kam nahin rakhti
mere chachu ko behad pyar hai mujh se
mere mamun ko duniya mein koi mujh sa nahin lagta
meri bahnen mere bhai
wo mujh par naz karte hain
aur in sab logon se baDh kar
wo hasti hai
ki sattar maon se baDh kar jise mujh se mohabbat hai
to achchha tha
meri surat pe koi tabsira karne se pahle tum inhen bhi dhyan mein rakhte
bahut hassas dil hai jin ke sine mein
jinhen main jaan se pyara hun
KHuda ka KHauf to karte
ki sattar maon se baDh kar wo mujh se pyar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.