Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni beTi ke nam

Ateeya Daud

apni beTi ke nam

Ateeya Daud

MORE BYAteeya Daud

    agar tumheñ kaarī kah kar qatl kardeñ

    mar jaanā pyaar zarūr karnā

    sharāfat ke show-case meñ

    naqāb Daal kar mat baiThnā pyaar zarūr karnā

    pyāsī ḳhvāhishoñ ke regzār meñ

    babūl ban kar mat rahnā pyaar zarūr karnā

    agar kisī yaad haule haule

    tumhāre dil meñ aatī hai

    to muskurā denā pyaar zarūr karnā

    vo kyā kareñge bas sañgsār to kareñge tum ko

    tum apne jīvan-pal lutf uThānā pyaar zarūr karnā

    tumhāre pyaar ko gunāh bhī kahā jā.egā

    to kyā huā sahā jaanā

    pyaar zarūr karnā

    pyaar sarhadeñ

    pyaar to mujh se be-shak karte ho

    roTī kapḌā aur makān dene va.ada kiyā hai

    is ke badle merā jīvan girvī rakh liyā hai

    ghar bahisht meñ mujhe bilkul āzād chhoḌ rakkhā hai

    bas usī taraf jaane mumāna.at hai

    jahāñ shu.ūr ke daraḳht meñ

    soch phal lagtā hai

    rose ubhartā sūraj mujhe

    qadam baḌhāne par uksātā hai

    aaj ye phal khāyā hai to aape se bāhar ho ga.ī huuñ

    soch ne khol Dālīñ saarī khiḌkiyāñ zehn

    tumhārī bahisht meñ merā dam ghuTne lagā hai

    maiñ faisle karne āzādī chāhtī huuñ

    soch ke meve ne itnī tāqat de

    agar tumhein kari kah kar qatl karden

    mar jaana pyar zarur karna

    sharafat ke show-case mein

    naqab Dal kar mat baiThna pyar zarur karna

    pyasi KHwahishon ke regzar mein

    babul ban kar mat rahna pyar zarur karna

    agar kisi ki yaad haule haule

    tumhaare dil mein aati hai

    to muskura dena pyar zarur karna

    wo kya karenge bas sangsar hi to karenge tum ko

    tum apne jiwan-pal ka lutf uThana pyar zarur karna

    tumhaare pyar ko gunah bhi kaha jaega

    to kya hua saha jaana

    pyar zarur karna

    pyar ki sarhaden

    pyar to mujh se be-shak karte ho

    roTi kapDa aur makan dene ka wada kiya hai

    is ke badle mera jiwan girwi rakh liya hai

    ghar ki bahisht mein mujhe bilkul aazad chhoD rakkha hai

    bas usi taraf jaane ki mumanat hai

    jahan shuur ke daraKHt mein

    soch ka phal lagta hai

    rose ubharta suraj mujhe

    qadam baDhane par uksata hai

    aaj ye phal khaya hai to aape se bahar ho gai hun

    soch ne khol Dalin sari khiDkiyan zehn ki

    tumhaari bahisht mein mera dam ghuTne laga hai

    main faisle karne ki aazadi chahti hun

    soch ke mewe ne itni taqat de di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now