apni jang rahegi
jab tak chand luTere is dhartī ko ghere haiñ
apnī jañg rahegī
ahl-e-havas ne jab tak apne daam bikhere haiñ
apnī jañg rahegī
maġhrib ke chehre par yaaro apne ḳhuun kī laalī hai
lekin ab us ke sūraj kī naav Dūbne vaalī hai
mashriq kī taqdīr meñ jab tak ġham ke añdhere haiñ
apnī jañg rahegī
zulm kahīñ bhī ho ham us kā sar ḳham karte jā.eñge
mahloñ meñ ab apne lahū ke diye na jalne pā.eñge
kuTiyāoñ se jab tak sub.hoñ ne muñh phere haiñ
apnī jañg rahegī
jaan liyā ai ahl-e-karam tum Tolī ho ayyāroñ kī
dast-e-nigar kyuuñ ban ke rahe ye bastī hai ḳhuddāroñ kī
Duube hue dukh-dard meñ jab tak sāñjh savere haiñ
apnī jañg rahegī
jab tak chand luTere is dharti ko ghere hain
apni jang rahegi
ahl-e-hawas ne jab tak apne dam bikhere hain
apni jang rahegi
maghrib ke chehre par yaro apne KHun ki lali hai
lekin ab us ke suraj ki naw Dubne wali hai
mashriq ki taqdir mein jab tak gham ke andhere hain
apni jang rahegi
zulm kahin bhi ho hum us ka sar KHam karte jaenge
mahlon mein ab apne lahu ke diye na jalne paenge
kuTiyaon se jab tak subhon ne munh phere hain
apni jang rahegi
jaan liya ai ahl-e-karam tum Toli ho ayyaron ki
dast-e-nigar kyun ban ke rahe ye basti hai KHuddaron ki
Dube hue dukh-dard mein jab tak sanjh sawere hain
apni jang rahegi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 208)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.