apni mahrumi ka dukh
maiñ nauha likhtā huuñ apne ḳhaliyoñ ke chhalnī ḳhvāboñ ai
sar-zamīn-e-havas meñ phaile sarāb-āsā khile gulāboñ kā
manzaroñ ke lahū meñ ghultī ġhalīz miTTī kī bātoñ kā
mire vajūd siyah-baḳhtī meñ ujḌe ashkoñ ke gard saa.e qafas bane meñ
maiñ dā.eroñ ke mahīn tāroñ kī
nā-tamāmī meñ
resha resha simaT gayā huuñ
kahāniyoñ ke dabīz pardoñ kī tah meñ uryāñ
tumhārī āñkhoñ kī muskurāhaT azaab ban kar
mire safar kī har ek manzil meñ aa chhupī hai
maiñ nauha likhtā huuñ
zard sochoñ kā
kaalī sāñsoñ kā
apne hoñToñ ke shamsī lafzoñ kā zā.iqoñ kā
tumhāre siine pe kunDalī maare jo saañp baiThā hai
us kī ḳhūnī zabāñ kā nauha
ḳhud apne bātin ke ḳhushk sahrā meñ
ujle tāroñ kī tābnākī kā
ḳhvāhishoñ se bharī havāoñ kī kā.enātoñ kā nauha likhtā huuñ nauha-ḳhvāñ huuñ
main nauha likhta hun apne KHaliyon ke chhalni KHwabon ai
sar-zamin-e-hawas mein phaile sarab-asa khile gulabon ka
manzaron ke lahu mein ghulti ghaliz miTTi ki baaton ka
mere wajud siyah-baKHti mein ujDe ashkon ke gard sae qafas bane mein
main daeron ke mahin taron ki
na-tamami mein
resha resha simaT gaya hun
kahaniyon ke dabiz pardon ki tah mein uryan
tumhaari aankhon ki muskurahaT azab ban kar
mere safar ki har ek manzil mein aa chhupi hai
main nauha likhta hun
zard sochon ka
kali sanson ka
apne honTon ke shamsi lafzon ka zaiqon ka
tumhaare sine pe kunDali mare jo sanp baiTha hai
us ki KHuni zaban ka nauha
KHud apne baatin ke KHushk sahra mein
ujle taron ki tabnaki ka
KHwahishon se bhari hawaon ki kaenaton ka nauha likhta hun nauha-KHwan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.