apni masiha ke nam
ye karb-e-taḳhlīq kaun jaane
sivā.e tere sivā.e mere
tū bint-e-maryam maiñ bint-e-havvā
mirī masīhā
ajiib rishta hai merā terā
vo lamha-e-karb
jab mujhe apne jān-o-tan kī ḳhabar nahīñ thī
har ek chehra thā dhuñdlā dhuñdlā
tamām shakleñ miTī miTī sī
faqat tirī shakl aa.ina thī
tirī sadā thī
jo mere tār-e-nafas ko chhū kar
lahū kī gardish baḌhā rahī thī
tirī sadā is ġhunūda dhaḌkan meñ
Dūbtī aur ubhartī sāñsoñ ke darmiyāñ
zindagī se labrez jām-e-shīrīñ
tirī sadā meñ vo hausla thā vo sarḳhushī thī
ki āḳhirī baar
mere māthe pe sard qatre jo jhilmilā.e
hayāt aur maut kī kashmakash ke mābain maiñ ne dekhā
tirī nigāhoñ meñ jaise mahtāb jagmagā.e
ki terā chehra ik aisī pākīza raushnī se dhulā huā thā
ki jaise injīl khultī jaa.e
vahī tulūa-e-hayāt kā ḳhush-gavār manzar
ki terā malbūs zindagī ke hazār rañgoñ se bhar chukā thā
ki tere hāthoñ ke nūr-pyāloñ meñ
merā sūraj damak rahā thā
ye karb-e-taKHliq kaun jaane
siwae tere siwae mere
tu bint-e-maryam main bint-e-hawwa
meri masiha
ajib rishta hai mera tera
wo lamha-e-karb
jab mujhe apne jaan-o-tan ki KHabar nahin thi
har ek chehra tha dhundla dhundla
tamam shaklen miTi miTi si
faqat teri shakl aaina thi
teri sada thi
jo mere tar-e-nafas ko chhu kar
lahu ki gardish baDha rahi thi
teri sada is ghunuda dhaDkan mein
Dubti aur ubharti sanson ke darmiyan
zindagi se labrez jam-e-shirin
teri sada mein wo hausla tha wo sarKHushi thi
ki aaKHiri bar
mere mathe pe sard qatre jo jhilmilae
hayat aur maut ki kashmakash ke mabain main ne dekha
teri nigahon mein jaise mahtab jagmagae
ki tera chehra ek aisi pakiza raushni se dhula hua tha
ki jaise injil khulti jae
wahi tulua-e-hayat ka KHush-gawar manzar
ki tera malbus zindagi ke hazar rangon se bhar chuka tha
ki tere hathon ke nur-pyalon mein
mera suraj damak raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.