apni miTTi ki KHushbu
maiñ jab bastī kī sarhad par khaḌā ho kar
ufuq meñ Dūbtī rāhoñ ko taktā thā
to vo ro ro ke kahtī thī
mujhe Dar hai
tujhe ye nā-taras rāheñ na kar Dāleñ judā mujh se
maiñ apnī niim tarsāñ uñgliyoñ se us ke aañsū poñchh kar kahtā thā
ab kaisā judā honā
magar maiñ dil meñ Dartā thā
ki in rāhoñ se vāqif thā
inhī rāhoñ pe chal kar is dayār-e-ġhair meñ aayā thā aur ye soch baiThā thā
ki ye mere safar kī āḳhirī manzil hai ye in.aam hai merā
magar har-dam ufuq meñ Dūbtī rāheñ
sunahre bādaloñ kī raushnā.ī se
havā meñ kuchh purānī bastiyoñ ke naam likhtī thiiñ
use ik roz maiñ ne kah diyā mujh ko mare ajdād kā madfan bulātā hai
mirī jaañ mujh ko jaanā hai
magar tujh bin na jā.ūñgā
vo ik but kī tarah sar ko jhukā.e chup rahī lekin
ḳhamoshī ko zabāñ kahte to sab kuchh kah ga.ī mujh se
jo aañsū us kī palkoñ se gire the ḳhushk miTTī par
unheñ maiñ ne taḌapte sochte aur bolte dekhā
phir ik shab us ke pahlū se maiñ uTThā aur ufuq meñ
Dūbtī rāhoñ pe chaltā apne aabā
kī us miTTī kī ḳhushbū ke ta.āqub
meñ chalā aayā jo mere ḳhvāboñ meñ
paltī thī
mujhe pahlū se gum pā kar vo saada be-zabāñ laḌkī magar kyā sochtī hogī
main jab basti ki sarhad par khaDa ho kar
ufuq mein Dubti rahon ko takta tha
to wo ro ro ke kahti thi
mujhe Dar hai
tujhe ye na-taras rahen na kar Dalen juda mujh se
main apni nim tarsan ungliyon se us ke aansu ponchh kar kahta tha
ab kaisa juda hona
magar main dil mein Darta tha
ki in rahon se waqif tha
inhi rahon pe chal kar is dayar-e-ghair mein aaya tha aur ye soch baiTha tha
ki ye mere safar ki aaKHiri manzil hai ye inam hai mera
magar har-dam ufuq mein Dubti rahen
sunahre baadalon ki raushnai se
hawa mein kuchh purani bastiyon ke nam likhti thin
use ek roz main ne kah diya mujh ko mare ajdad ka madfan bulata hai
meri jaan mujh ko jaana hai
magar tujh bin na jaunga
wo ek but ki tarah sar ko jhukae chup rahi lekin
KHamoshi ko zaban kahte to sab kuchh kah gai mujh se
jo aansu us ki palkon se gire the KHushk miTTi par
unhen main ne taDapte sochte aur bolte dekha
phir ek shab us ke pahlu se main uTTha aur ufuq mein
Dubti rahon pe chalta apne aaba
ki us miTTi ki KHushbu ke taaqub
mein chala aaya jo mere KHwabon mein
palti thi
mujhe pahlu se gum pa kar wo sada be-zaban laDki magar kya sochti hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.