apni raat lai jao
mere ghar ke sāmne
raat kī gaaḌī kā ek pahiya nikal gayā
merā beTā us pahiye se kheltā hai
gaaḌī ko lene koī nahīñ aayā
us din se mere ghar meñ
aḳhbār nahīñ aayā
duudh nahīñ aayā
parinda nahīñ aayā
us din ke ba.ad
maiñ ne apnī nazm meñ koī shikār nahīñ khelā
maiñ apnī nazm ke andar ḳhāmosh ho gayā
aur merī nazm āhista āhista mere liye piñjra ban ga.ī
raat kī gaaḌī ko lene koī nahīñ aayā
unhoñ ne jān-būjh ke aisā kiyā hai
vo mere dil meñ bachī-khuchī chīzoñ ko shikār karnā chāhte haiñ
shāyad vo naqsha churānā chāhte haiñ
kuchh log raat kī gaaḌī se nīche utre
mere anaaj ke kamre aur merī nazmoñ kī talāshī lī
apnī hifāzat ke liye
kuchh hathiyār maiñ ne in nazmoñ meñ chhupā rakkhe the
ab mere paas chand Dare hue lafzoñ aur chhān-būre ke sivā kuchh nahīñ
unhoñ ne mere beTe kī kitābeñ chhīn liiñ
aur apnī likhī huī kitābeñ de diiñ
aur kahā ham tumhāre hī ghar meñ
tumhārī nazmoñ ke liye ek muḳhbir tayyār karnā chāhte haiñ
raat kī gaaḌī kā pahiya mujhe apne siine meñ utartā huā mahsūs huā
mere ghar kī har shai pahiye meñ badal ga.ī
hattā ki merī bāteñ bhī pahiya ban ga.iiñ
aur phir ye pahiya merī tārīḳh ban jā.egā
is tārīḳh se bahut saare bachche paidā hoñge
vo raat kī is gaaḌī ko khīñcheñge
lekin us vaqt tak raat
apnī jaḌeñ chhoḌ chukī hogī
mere ghar ke samne
raat ki gaDi ka ek pahiya nikal gaya
mera beTa us pahiye se khelta hai
gaDi ko lene koi nahin aaya
us din se mere ghar mein
aKHbar nahin aaya
dudh nahin aaya
parinda nahin aaya
us din ke baad
main ne apni nazm mein koi shikar nahin khela
main apni nazm ke andar KHamosh ho gaya
aur meri nazm aahista aahista mere liye pinjra ban gai
raat ki gaDi ko lene koi nahin aaya
unhon ne jaan-bujh ke aisa kiya hai
wo mere dil mein bachi-khuchi chizon ko shikar karna chahte hain
shayad wo naqsha churana chahte hain
kuchh log raat ki gaDi se niche utre
mere anaj ke kamre aur meri nazmon ki talashi li
apni hifazat ke liye
kuchh hathiyar main ne in nazmon mein chhupa rakkhe the
ab mere pas chand Dare hue lafzon aur chhan-bure ke siwa kuchh nahin
unhon ne mere beTe ki kitaben chhin lin
aur apni likhi hui kitaben de din
aur kaha hum tumhaare hi ghar mein
tumhaari nazmon ke liye ek muKHbir tayyar karna chahte hain
raat ki gaDi ka pahiya mujhe apne sine mein utarta hua mahsus hua
mere ghar ki har shai pahiye mein badal gai
hatta ki meri baaten bhi pahiya ban gain
aur phir ye pahiya meri tariKH ban jaega
is tariKH se bahut sare bachche paida honge
wo raat ki is gaDi ko khinchenge
lekin us waqt tak raat
apni jaDen chhoD chuki hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.