apni walida ki yaad mein
kahāñ gayā vo zamāna ki jis kī yaad meñ aaj
bhulā.e baiThā huuñ ḳhud ko patā nahīñ miltā
ga.ī kahāñ hai vo ab sūrateñ mohabbat kī
zamāne bhar meñ kahīñ naqsh-e-pā nahīñ miltā
maiñ pūchhūñ kis se patā aur kahāñ kahāñ DhūñDūñ
vahāñ kā koī bhī aayā gayā nahīñ miltā
vo aspatāl kī shab bhī thī kyā qayāmat kī
vahāñ qafas se jo taa.ir uḌā nahīñ miltā
nahīf baazū the mere liye hisār-e-amāñ
maza kahīñ bhī us āġhosh kā nahīñ miltā
vo bujhtī āñkheñ thī mere liye charāġh-e-hayāt
nigāh-e-mehr kā ab vo diyā nahīñ miltā
tamīz kaise karūñ rahzan-o-rafīq meñ ab
rah-e-hayāt kā vo rahnumā nahīñ miltā
bas ek dam se vo badlī havā zamāne kī
ki shaiḳh milte haiñ dil bā-safā nahīñ miltā
balā kā shor hai ulfat ke mai-kade meñ magar
sharāb miltī hai lekin nasha nahīñ miltā
huī hai ruuh vo ab jazb-e-rūh-e-pāk-e-azīm
milā jo zaat meñ us kī judā nahīñ miltā
vo goyā abr kā saayā thā le uḌī jo havā
bikhar ke phuul kā jaise patā nahīñ miltā
vo ek naġhma thā gum ho gayā fazāoñ meñ
ki jaise bahr meñ qatra girā nahīñ miltā
talāsh un kī yahāñ hai 'habīb' lā-hāsil
ki chashm-e-tar se jo aañsū girā nahīñ miltā
kahan gaya wo zamana ki jis ki yaad mein aaj
bhulae baiTha hun KHud ko pata nahin milta
gai kahan hai wo ab suraten mohabbat ki
zamane bhar mein kahin naqsh-e-pa nahin milta
main puchhun kis se pata aur kahan kahan DhunDun
wahan ka koi bhi aaya gaya nahin milta
wo aspatal ki shab bhi thi kya qayamat ki
wahan qafas se jo tair uDa nahin milta
nahif bazu the mere liye hisar-e-aman
maza kahin bhi us aaghosh ka nahin milta
wo bujhti aankhen thi mere liye charagh-e-hayat
nigah-e-mehr ka ab wo diya nahin milta
tamiz kaise karun rahzan-o-rafiq mein ab
rah-e-hayat ka wo rahnuma nahin milta
bas ek dam se wo badli hawa zamane ki
ki shaiKH milte hain dil ba-safa nahin milta
bala ka shor hai ulfat ke mai-kade mein magar
sharab milti hai lekin nasha nahin milta
hui hai ruh wo ab jazb-e-ruh-e-pak-e-azim
mila jo zat mein us ki juda nahin milta
wo goya abr ka saya tha le uDi jo hawa
bikhar ke phul ka jaise pata nahin milta
wo ek naghma tha gum ho gaya fazaon mein
ki jaise bahr mein qatra gira nahin milta
talash un ki yahan hai 'habib' la-hasil
ki chashm-e-tar se jo aansu gira nahin milta
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 95)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.