aql baDi ya bhains
ek thā raaja mehdī alī ḳhaañ ek thī us kī raanī
raanī kī ik maañ thī ya.anī bachcha log kī naanī
karnā ḳhudā kā aisā huā ik roz koī ham-sāya
raaja ke darbār meñ ik chhoTī sī chuhiyā laayā
dekhā jab us chuhiyā ko hairān hue darbārī
piitī thī vo coca-cola khātī thī tarkārī
añgrezī meñ bāteñ kar ke filmī gaane gaatī
rang birañge Dance dikhā kar sab kā jī bahlātī
parde se ye manzar dekhā jab raanī kī maañ ne
sochā ham-sā.e se le le chuhiyā kisī bahāne
buḌhiyā ne sar piiTā apnā ḳhuub kiyā vāvailā
oḌh liyā phir vo dopaTTa rang thā jis kā mailā
kahne lagī chillā chillā kar raaja terī duhā.ī
ye hai merā chor ki is ne merī bhaiñs churā.ī
chhīn lo is se bhaiñseñ merī aur muñh par maaro chāñTā
dekho dekho suukh ke merī bhaiñseñ huī hai kāñTā
raaja mehñdī alī ḳhaañ jo the rājāoñ ke raaja
kaam na kuchh bhī karte āThoñ-pahar bajāte baajā
garaj ke bole o mardūd batā kyuuñ bhaiñs churā.ī
ham ne to us bhaiñs ke aage barsoñ biin bajā.ī
raaja kī ye baat sunī to kahne lagā ham-sāyā
jiye vo saas ki chuhiyā ko bhī jis ne bhaiñs banāyā
raaj hai terā is nagrī meñ ḳhuub sazā de mujh ko
aql baḌī yā bhaiñs bas itnī baat batā de mujh ko
ek tha raja mehdi ali KHan ek thi us ki rani
rani ki ek man thi yani bachcha log ki nani
karna KHuda ka aisa hua ek roz koi ham-saya
raja ke darbar mein ek chhoTi si chuhiya laya
dekha jab us chuhiya ko hairan hue darbari
piti thi wo coca-cola khati thi tarkari
angrezi mein baaten kar ke filmi gane gati
rang birange Dance dikha kar sab ka ji bahlati
parde se ye manzar dekha jab rani ki man ne
socha ham-sae se le le chuhiya kisi bahane
buDhiya ne sar piTa apna KHub kiya wawaila
oDh liya phir wo dopaTTa rang tha jis ka maila
kahne lagi chilla chilla kar raja teri duhai
ye hai mera chor ki is ne meri bhains churai
chhin lo is se bhainsen meri aur munh par maro chanTa
dekho dekho sukh ke meri bhainsen hui hai kanTa
raja mehndi ali KHan jo the rajaon ke raja
kaam na kuchh bhi karte aaThon-pahar bajate baja
garaj ke bole o mardud bata kyun bhains churai
hum ne to us bhains ke aage barson bin bajai
raja ki ye baat suni to kahne laga ham-saya
jiye wo sas ki chuhiya ko bhi jis ne bhains banaya
raj hai tera is nagri mein KHub saza de mujh ko
aql baDi ya bhains bas itni baat bata de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.