aqlima
aqlīmā
jo hābīl kī qābīl kī māñ-jā.ī hai
māñ-jā.ī
magar muḳhtalif
muḳhtalif biich meñ rānoñ ke
aur pistānoñ ke ubhāroñ meñ
aur apne peT ke andar
apnī kokh meñ
in sab kī qismat kyuuñ hai
ik farba bheḌ ke bachche kī qurbānī
vo apne badan kī qaidī
taptī huī dhuup meñ jalte
Tiile par khaḌī huī hai
patthar par naqsh banī hai
us naqsh ko ġhaur se dekho
lambī rānoñ se uupar
ubhre pistānoñ se uupar
pechīda kokh se uupar
aqlīmā kā sar bhī hai
allāh kabhī aqlīmā se bhī kalām kare
aur kuchh pūchhe
Akleema
aqlima
jo habil ki qabil ki man-jai hai
man-jai
magar muKHtalif
muKHtalif bich mein ranon ke
aur pistanon ke ubhaaron mein
aur apne peT ke andar
apni kokh mein
in sab ki qismat kyun hai
ek farba bheD ke bachche ki qurbani
wo apne badan ki qaidi
tapti hui dhup mein jalte
Tile par khaDi hui hai
patthar par naqsh bani hai
us naqsh ko ghaur se dekho
lambi ranon se upar
ubhre pistanon se upar
pechida kokh se upar
aqlima ka sar bhi hai
allah kabhi aqlima se bhi kalam kare
aur kuchh puchhe
Akleema
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.