arize ki Dali
tirī narm lahroñ pe rakkhe diye
apne baaqī ke hamrāh gum ho chuke haiñ
duāoñ, tamannāoñ, ḳhvāboñ kā mausam
aziyyat ke kīchaḌ meñ luthḌā paḌā hai
ḳhatoñ ke lifāfe
hurūf o ma.anī ke rañgoñ se
ḳhālī paḌe haiñ
kināroñ se Daalī ga.ī
daraḳht kī surḳh-rū sāzishī pattiyāñ
rāstoñ ke nishān kho chukī haiñ
magar...
agle din ke hasīñ ḳhvāb...
arīze kī Daalī
abhī tak kahīñ kāñptī hai
teri narm lahron pe rakkhe diye
apne baqi ke hamrah gum ho chuke hain
duaon, tamannaon, KHwabon ka mausam
aziyyat ke kichaD mein luthDa paDa hai
KHaton ke lifafe
huruf o mani ke rangon se
KHali paDe hain
kinaron se Dali gai
daraKHt ki surKH-ru sazishi pattiyan
raston ke nishan kho chuki hain
magar
agle din ke hasin KHwab
arize ki Dali
abhi tak kahin kanpti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.