arz-e-mauud
va.ade kī zamīn nahīñ aa.ī
vo ūñchā shaiḳh jo sab nazroñ meñ ghirā huā hai
be-parvā ma.asūm aTal
vo gahrā sāgar jis kī thaah meñ apne sivā koī bhī nahīñ
va.ade kī zamīn nahīñ aa.ī
naumīdī pathrā de na kahīñ
betābī jhulsā de na kahīñ
kho jaa.e na ḳhudī khoj kā ghāyal panchhī uḌaan ke saath
añdhiyārī ghāTī meñ
ham haiñ to yahī ġhanīmat hai
ham haiñ to zinda hai va.adoñ kā ugam
maujoñ ke ba.ad ubaltī maujoñ kā dhārā
jo farāmoshī ke registān meñ bahtā hai
us kī rāheñ pahle hī se muqarrar haiñ
aur un se haT kar koī raah nahīñ
sañgīn sach kī pathrīlī zamīnoñ meñ
armānoñ kā zarrīñ kohrā bikhartā
sach ke sotoñ se phūTtā rañgīn jhuuT
albele niDar sapnoñ kā bahtā gaatā jal
us moḌ pe apnī manzil se bhī fuzūñ-tar hai
phir apnā dosh hī kyā
iifā ke sūraj pighal jaate haiñ
va.adoñ kī laalī meñ ghul-mil jaate haiñ
hañgām-e-tulū-o-ġhurūb se duur
din baḌhtā hai nā raat guzartī hai
bahte haiñ ujāle shoḳh rasīle
aur madmāte dhundalke jaise basant
va.ade an-ginat khilā karte haiñ phūloñ meñ
chamkā karte haiñ sitāroñ meñ
dhaḌkanoñ meñ sāñsoñ meñ
ik samāñ suhānā chhāyā rahtā hai dhartī se ākāsh ke beach
dil se āñkhoñ tak azal abad kī vus.at meñ
wade ki zamin nahin aai
wo uncha shaiKH jo sab nazron mein ghira hua hai
be-parwa masum aTal
wo gahra sagar jis ki thah mein apne siwa koi bhi nahin
wade ki zamin nahin aai
naumidi pathra de na kahin
betabi jhulsa de na kahin
kho jae na KHudi khoj ka ghayal panchhi uDan ke sath
andhiyari ghaTi mein
hum hain to yahi ghanimat hai
hum hain to zinda hai wadon ka ugam
maujon ke baad ubalti maujon ka dhaara
jo faramoshi ke registan mein bahta hai
us ki rahen pahle hi se muqarrar hain
aur un se haT kar koi rah nahin
sangin sach ki pathrili zaminon mein
armanon ka zarrin kohra bikharta
sach ke soton se phuTta rangin jhuT
albele niDar sapnon ka bahta gata jal
us moD pe apni manzil se bhi fuzun-tar hai
phir apna dosh hi kya
ifa ke suraj pighal jate hain
wadon ki lali mein ghul-mil jate hain
hangam-e-tulu-o-ghurub se dur
din baDhta hai na raat guzarti hai
bahte hain ujale shoKH rasile
aur madmate dhundalke jaise basant
wade an-ginat khila karte hain phulon mein
chamka karte hain sitaron mein
dhaDkanon mein sanson mein
ek saman suhana chhaya rahta hai dharti se aakash ke beach
dil se aankhon tak azal abad ki wusat mein
- Book : mahvar-volume-12 (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.