arz-e-watan
ḳhayālāt meñ saḳht hai intishār
taḳhayyul pareshāñ qalam be-qarār
jahāñ ḳhūn-ālūda-o-ḳhūñ-rañg hai
vatan par paḌā sāya-e-rañg hai
gul-o-lāla haiñ musta.id be-takāñ
rafīqoñ ne rakkhī hathelī pe jaañ
har ik lab pe hai bas yahī ik suḳhan
hasīn aur dilkash hai arz-e-vatan
ḳhulūs aaj pāmāl hai aur tabāh
usuul aaj daryūza-ḳhvāh-e-panāh
giraftār-e-āzār duniyā hai aaj
mohabbat parīshān-o-rusvā hai aaj
usūl-e-mohabbat ke ham tarjumāñ
ḳhulūs-o-mohabbat ke ham pāsbāñ
divānoñ ko mutlaq nahīñ hai qarār
sadāqat se betāb dil pā.edār
har ik lab pe hai bas yahī ik suḳhan
hasīn aur dilkash hai arz-e-vatan
vatan hai ye nānak kā farmāñ-pazīr
thā gautam isī kārvāñ kā amiir
mohabbat ne rutba diyā hai buland
mohabbat ne sab ko kiyā arjumand
hai ġhairat kā tūfān chhāyā huā
hai bachchoñ meñ bhī josh aayā huā
irāde haiñ sab ke bahut ustuvār
ġhayūr aur bedār haiñ jāñ-nisār
har ik lab pe hai bas yahī ik suḳhan
hasīn aur dilkash hai arz-e-vatan
na dī dushmanoñ ko kabhī is ne raah
himāla hai rif.at se ālam-panāh
himāla kī dilchasp hai dāstāñ
ye azmat nishāñ sab kā hai pāsbāñ
zamāne pe ye baat hai āshkār
amā us kī hai duḳhtar-e-nām-dār
himāla kī azmat kī ham ko qasam
himāla kī rif.at kī ham ko qasam
hifāzat himāla kī ab farz hai
himāla kā ham par baḌā qarz hai
ye kahte haiñ sab mil ke ḳhurd-o-kalāñ
ki ġhairat kā is vaqt hai imtihāñ
huā rū-e-shañkar hai ġhusse se laal
dikhā.egā ab raqs tānDau jalāl
irāde haiñ sab ke bahut ustuvār
ġhayūr aur bedār sab jāñ-nisār
har ik lab pe hai bas yahī ik suḳhan
hasīn aur dilkash hai arz-e-vatan
muhāfiz haiñ ham amn ke lā-kalām
zamāne ko dete haiñ budh kā payām
sabā apne gulshan se jaatī hai jab
miTātī hai duniyā ke rañj-o-ta.ab
rasīlī hai sub.h aur rasīlī hai shaam
nihāñ in meñ hai zindagī kā payām
rivāyat kā mahfūz kar ke vaqār
hameñ lūTnā hai ḳhushī kī bahār
zarā dekhiyegā rafīqoñ kī aan
hai rakkhī jinhoñ ne hathelī pe jaan
har ik lab pe hai bas yahī ik suḳhan
hasīn aur dilkash hai arz-e-vatan
hai izzat kā jur.at kā ab imtihāñ
kahīñ jhuk na jaa.e vatan kā nishāñ
fareboñ se koī panaptā nahīñ
kabhī jhuuT kā meva paktā nahīñ
sadāqat kā hai bol-bālā sadā
nahīñ kaam aate daroġh iftirā
fazā hai chaman kī hameñ sāzgār
hai pābanda-tar is zamīñ kī bahār
har ik lab pe hai bas yahīñ ik suḳhan
hasīn aur dilkash hai arz-e-vatan
hayā aur muravvat hai jo pur raheñ
huī haiñ vo āñkheñ bahut ḳhashmagīñ
baḌhe haiñ vatan kī taraf bad-qimāsh
kaleja zamīñ kā huā paash paash
pahāḌoñ pe hai barf ġhusse se laal
fazā.eñ huiiñ garm ātish misāl
haiñ jehlam meñ aane ko tuġhyāniyāñ
har ik mauj par hai ġhazab kā samāñ
mohabbat kī duniyā ko dil meñ liye
bahār-e-javānī se paimāñ kiye
vatan kī hifāzat ko tayyār haiñ
mohabbat ke baada se sarshār haiñ
hifāzat hai farz apne armān kī
hameñ aaj parvā nahīñ jaan kī
har ik lab pe hai bas yahī ik suḳhan
hasīn aur dilkash hai arz-e-vatan
2
aao baḌho maidān meñ sheroñ dushman par yalġhār kareñ
qabr bane maidān meñ us kī aisā us par vaar kareñ
zañg na lagne paa.e apne bhārat kī āzādī ko
aao zer-e-dām kareñ sayyādoñ kī sayyādī ko
lauh-e-dil par naqsh karo har haal meñ zinda rahnā hai
mulk kī ḳhidmat ke raste meñ jo dukh aa.e sahnā hai
ye sailāb-e-surḳh nahīñ hai zulm-o-sitam kī āñdhī hai
is sailāb ko rokeñge ham himmat ham ne bāñdhī hai
sheroñ kī aulād ho tum in vīroñ kī santān ho tum
mard-e-mujāhid mard-e-jarī ho yodhdhā ho balvān ho tum
sāñchī madurā amaritsar ajmer kī azmat tum se hai
sub.h-e-banaras shām-e-avadh kī asl-o-haqīqat tum se hai
taaj ajantā aur elora ke vāhid fankār ho tum
ḳhush-sīrat ḳhush-sūrāt ḳhush-mūrat ḳhush-kirdār ho tum
bhīlā.ī chitranjan tum se bhākaḌ anañgal tum se hai
dāmodar kī shaan hai tum se azmat-e-chanbal tum se hai
tum ne basā.e shahr nirāle jañgal tum se mañgal haiñ
tum ne nikālī nahreñ itnī sahrā tum se jal-thal haiñ
tum ne itnī himmat se dariyāoñ ke ruḳh moḌ diye
tum ne khodīñ surañgeñ itnī duur ke rishte joḌ diye
tum kashmīr kī arz-e-hasīñ ke nazzāroñ meñ palte ho
kohsāroñ ko phāñdte ho tum dariyāoñ pe chalte ho
tum mysore meñ virindā-ban ke baaġh sajāne vaale ho
uuTī shimla dārjiling se shahr basāne vaale ho
tātya-Tope laxmī-bā.ī Tiipū kī aulād ho tum
jañg ke fan meñ qābil ho tum māhir ho ustād ho tum
hindū muslim sikh īsā.ī jainī bodh aur pārsī
dahqāñ tājir aur mulāzim sādhū-sant aur siyāsī
le ke vatan kā jhanDā aao dushman par yalġhār kareñ
qabr bane ran-bhūm meñ us kī aisā us par vaar kareñ
KHayalat mein saKHt hai intishaar
taKHayyul pareshan qalam be-qarar
jahan KHun-aluda-o-KHun-rang hai
watan par paDa saya-e-rang hai
gul-o-lala hain mustaid be-takan
rafiqon ne rakkhi hatheli pe jaan
har ek lab pe hai bas yahi ek suKHan
hasin aur dilkash hai arz-e-watan
KHulus aaj pamal hai aur tabah
usul aaj daryuza-KHwah-e-panah
giraftar-e-azar duniya hai aaj
mohabbat parishan-o-ruswa hai aaj
usul-e-mohabbat ke hum tarjuman
KHulus-o-mohabbat ke hum pasban
diwanon ko mutlaq nahin hai qarar
sadaqat se betab dil paedar
har ek lab pe hai bas yahi ek suKHan
hasin aur dilkash hai arz-e-watan
watan hai ye nanak ka farman-pazir
tha gautam isi karwan ka amir
mohabbat ne rutba diya hai buland
mohabbat ne sab ko kiya arjumand
hai ghairat ka tufan chhaya hua
hai bachchon mein bhi josh aaya hua
irade hain sab ke bahut ustuwar
ghayur aur bedar hain jaan-nisar
har ek lab pe hai bas yahi ek suKHan
hasin aur dilkash hai arz-e-watan
na di dushmanon ko kabhi is ne rah
himala hai rifat se aalam-panah
himala ki dilchasp hai dastan
ye azmat nishan sab ka hai pasban
zamane pe ye baat hai aashkar
ama us ki hai duKHtar-e-nam-dar
himala ki azmat ki hum ko qasam
himala ki rifat ki hum ko qasam
hifazat himala ki ab farz hai
himala ka hum par baDa qarz hai
ye kahte hain sab mil ke KHurd-o-kalan
ki ghairat ka is waqt hai imtihan
hua ru-e-shankar hai ghusse se lal
dikhaega ab raqs tanDau jalal
irade hain sab ke bahut ustuwar
ghayur aur bedar sab jaan-nisar
har ek lab pe hai bas yahi ek suKHan
hasin aur dilkash hai arz-e-watan
muhafiz hain hum amn ke la-kalam
zamane ko dete hain budh ka payam
saba apne gulshan se jati hai jab
miTati hai duniya ke ranj-o-tab
rasili hai subh aur rasili hai sham
nihan in mein hai zindagi ka payam
riwayat ka mahfuz kar ke waqar
hamein luTna hai KHushi ki bahaar
zara dekhiyega rafiqon ki aan
hai rakkhi jinhon ne hatheli pe jaan
har ek lab pe hai bas yahi ek suKHan
hasin aur dilkash hai arz-e-watan
hai izzat ka jurat ka ab imtihan
kahin jhuk na jae watan ka nishan
farebon se koi panapta nahin
kabhi jhuT ka mewa pakta nahin
sadaqat ka hai bol-baala sada
nahin kaam aate darogh iftira
faza hai chaman ki hamein sazgar
hai pabanda-tar is zamin ki bahaar
har ek lab pe hai bas yahin ek suKHan
hasin aur dilkash hai arz-e-watan
haya aur murawwat hai jo pur rahen
hui hain wo aankhen bahut KHashmagin
baDhe hain watan ki taraf bad-qimash
kaleja zamin ka hua pash pash
pahaDon pe hai barf ghusse se lal
fazaen huin garm aatish misal
hain jehlam mein aane ko tughyaniyan
har ek mauj par hai ghazab ka saman
mohabbat ki duniya ko dil mein liye
bahaar-e-jawani se paiman kiye
watan ki hifazat ko tayyar hain
mohabbat ke baada se sarshaar hain
hifazat hai farz apne arman ki
hamein aaj parwa nahin jaan ki
har ek lab pe hai bas yahi ek suKHan
hasin aur dilkash hai arz-e-watan
2
aao baDho maidan mein sheron dushman par yalghaar karen
qabr bane maidan mein us ki aisa us par war karen
zang na lagne pae apne bhaarat ki aazadi ko
aao zer-e-dam karen sayyaadon ki sayyaadi ko
lauh-e-dil par naqsh karo har haal mein zinda rahna hai
mulk ki KHidmat ke raste mein jo dukh aae sahna hai
ye sailab-e-surKH nahin hai zulm-o-sitam ki aandhi hai
is sailab ko rokenge hum himmat hum ne bandhi hai
sheron ki aulad ho tum in wiron ki santan ho tum
mard-e-mujahid mard-e-jari ho yodhdha ho balwan ho tum
sanchi madura amaritsar ajmer ki azmat tum se hai
subh-e-banaras sham-e-awadh ki asl-o-haqiqat tum se hai
taj ajanta aur elora ke wahid fankar ho tum
KHush-sirat KHush-suraat KHush-murat KHush-kirdar ho tum
bhilai chitranjan tum se bhakaD anangal tum se hai
damodar ki shan hai tum se azmat-e-chanbal tum se hai
tum ne basae shahr nirale jangal tum se mangal hain
tum ne nikali nahren itni sahra tum se jal-thal hain
tum ne itni himmat se dariyaon ke ruKH moD diye
tum ne khodin surangen itni dur ke rishte joD diye
tum kashmir ki arz-e-hasin ke nazzaron mein palte ho
kohsaron ko phandte ho tum dariyaon pe chalte ho
tum mysore mein wirinda-ban ke bagh sajaane wale ho
uTi shimla darjiling se shahr basane wale ho
tatya-Tope laxmi-bai Tipu ki aulad ho tum
jang ke fan mein qabil ho tum mahir ho ustad ho tum
hindu muslim sikh isai jaini bodh aur parsi
dahqan tajir aur mulazim sadhu-sant aur siyasi
le ke watan ka jhanDa aao dushman par yalghaar karen
qabr bane ran-bhum mein us ki aisa us par war karen
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 399)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Hujwiri Publisher H. 811, A Androon, Akbari Gate, Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.