arz-o-sama
ye dhatūrā hai
kāñToñ bharā
aur vo us kā hai ham-safar
zindagī kā antim safar
nīche kāñToñ kā bistar
aur uupar se kirnoñ ke neze
yā vo gardish kare
yā vo karvaT hī badle
azal se vo zaḳhmoñ se hai chūr-chūr
jaane kitne sahe us ne dukh apne lambe safar meñ
kitne aañsū bahā.e haiñ us ne
ḳhuun ke saat sāgar bane haiñ
kaun andāza kar saktā hai us ke dukh kā
ye dhatura hai
kanTon bhara
aur wo us ka hai ham-safar
zindagi ka antim safar
niche kanTon ka bistar
aur upar se kirnon ke neze
ya wo gardish kare
ya wo karwaT hi badle
azal se wo zaKHmon se hai chur-chur
jaane kitne sahe us ne dukh apne lambe safar mein
kitne aansu bahae hain us ne
KHun ke sat sagar bane hain
kaun andaza kar sakta hai us ke dukh ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.