asasa
maiñ apnī qīmtī chīzeñ bhī aksar bhuul jaatī huuñ
kahīñ bhī jā ke Thahrūñ maiñ
kisī ke paas bhī jā.ūñ
kabhī terrace kabhī āñgan kabhī kamre meñ bhī aksar
kuchh apnī pichhlī yādoñ ko kabhī kuchh chāñd rātoñ ko
aur aksar adh-bune se kuchh adhūre ḳhvāb ke guchchhe
vahīñ par chhoḌ aatī huuñ
maiñ aksar bhuul jaatī huuñ
vo jo maiñ āḳhirī mausam meñ tum se milne aa.ī thī
to kuchh taare chamelī kī bahut thoḌī sī vo ḳhushbū
mohabbat ke sunahrī narm resham se bane be-sāḳhta jumle
yahīñ par rah ga.e mere
yahāñ dīvār par maiñ ne chamaktā chāñd chhoḌā thā
hañsī ke motiyoñ kī ek maalā thī jo tum ne gift meñ dī thī
yahīñ par rah ga.ī vo bhī
maiñ Thahrūñgī nahīñ mujh ko bas apnī qīmtī chīzeñ hī lenī haiñ
tumheñ zahmat bahut hogī magar ye sab mujhe de do
tumhāre paas to duniyā ke ab saare ḳhazāne haiñ
maiñ ḳhālī haath baiThī huuñ yahī merā asāsa hai
main apni qimti chizen bhi aksar bhul jati hun
kahin bhi ja ke Thahrun main
kisi ke pas bhi jaun
kabhi terrace kabhi aangan kabhi kamre mein bhi aksar
kuchh apni pichhli yaadon ko kabhi kuchh chand raaton ko
aur aksar adh-bune se kuchh adhure KHwab ke guchchhe
wahin par chhoD aati hun
main aksar bhul jati hun
wo jo main aaKHiri mausam mein tum se milne aai thi
to kuchh tare chameli ki bahut thoDi si wo KHushbu
mohabbat ke sunahri narm resham se bane be-saKHta jumle
yahin par rah gae mere
yahan diwar par main ne chamakta chand chhoDa tha
hansi ke motiyon ki ek mala thi jo tum ne gift mein di thi
yahin par rah gai wo bhi
main Thahrungi nahin mujh ko bas apni qimti chizen hi leni hain
tumhein zahmat bahut hogi magar ye sab mujhe de do
tumhaare pas to duniya ke ab sare KHazane hain
main KHali hath baiThi hun yahi mera asasa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.