asasa
kyuuñ tum ne palkoñ par
itnī saarī yādeñ yakjā kar lī haiñ
in yādoñ ko tah meñ putliyoñ ke
rakh do
taaki yādeñ rusvā.ī kī gard se
mailī na ho jaa.eñ
yādeñ asāsa haiñ guzre lamhoñ kī
in guzre lamhoñ ko
haal ke lamhoñ meñ mudġham kar do
ḳhud ko ḳhud meñ zam kar do
yādoñ ko bojh samajh kar mat jhaTko
in ko be-parda karne kī aadat tark karo
vo to sarmāya haiñ
anmol asāsa haiñ
kyun tum ne palkon par
itni sari yaaden yakja kar li hain
in yaadon ko tah mein putliyon ke
rakh do
taki yaaden ruswai ki gard se
maili na ho jaen
yaaden asasa hain guzre lamhon ki
in guzre lamhon ko
haal ke lamhon mein mudgham kar do
KHud ko KHud mein zam kar do
yaadon ko bojh samajh kar mat jhaTko
in ko be-parda karne ki aadat tark karo
wo to sarmaya hain
anmol asasa hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.