asatiri nazm
āḳhirī baar
koh-e-nidā ke us paar
us ke sunahrī vajūd kī aayat
mere dil ke qirtās par
tastīr hoī
maiñ
saat savāloñ ke javāb talāsh kartā huā
is ajnabī sar-zamīn par
utrā thā
us kī sunahrī naaf kā pyāla
ḳhutan se aa.ī
kastūrī se labrez thā
aur siine par
laala ke do phuul khile the
raushnī
us ke chehre ke ḳhadd-o-ḳhāl taḳhlīq karne meñ
masrūf thī
vo
siyāh pairahan pahne
hiire ke taḳht ko
Thokar pe liye baiThī thī
us
ke pahlū meñ
vafādār ġhulām īstāda the
jin ke mohabbat se labrez dil
un kī hatheliyoñ pe dhaḌakte the
maiñ ne apnī taaza nazm
sandal kī chhāl par likh kar
use hadiya kī
merī nazm ke āḳhirī misre tak aate aate
us kā dil
āñkhoñ se bah niklā
us ne haath baḌhā kar
raqs karte peḌ kā
sab se ḳhush-gulū parinda toḌ kar
merī hathelī par rakhā
to us ke pahlū meñ
ThāTheñ mārtā javāharāt kā dariyā
mere kushāda dāman meñ bahne lagā
maiñ ne us ke dariyā ko apne chullū meñ bharā
aur farsh par thuuk diyā
tab us par ye raaz khulā
ki maiñ hī vo shā.ir huuñ jis ne
nazm
aur
taqdīr
ījād kī
aaKHiri bar
koh-e-nida ke us par
us ke sunahri wajud ki aayat
mere dil ke qirtas par
tastir hoi
main
sat sawalon ke jawab talash karta hua
is ajnabi sar-zamin par
utra tha
us ki sunahri naf ka pyala
KHutan se aai
kasturi se labrez tha
aur sine par
lala ke do phul khile the
raushni
us ke chehre ke KHadd-o-KHal taKHliq karne mein
masruf thi
wo
siyah pairahan pahne
hire ke taKHt ko
Thokar pe liye baiThi thi
us
ke pahlu mein
wafadar ghulam istada the
jin ke mohabbat se labrez dil
un ki hatheliyon pe dhaDakte the
main ne apni taza nazm
sandal ki chhaal par likh kar
use hadiya ki
meri nazm ke aaKHiri misre tak aate aate
us ka dil
aankhon se bah nikla
us ne hath baDha kar
raqs karte peD ka
sab se KHush-gulu parinda toD kar
meri hatheli par rakha
to us ke pahlu mein
ThaThen marta jawaharaat ka dariya
mere kushada daman mein bahne laga
main ne us ke dariya ko apne chullu mein bhara
aur farsh par thuk diya
tab us par ye raaz khula
ki main hi wo shair hun jis ne
nazm
aur
taqdir
ijad ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.