asfal-us-safilin
hamāre sāmne hamārā rab maujūd hai
magar ham apne apne maslak kī
DeḌh DeḌh iiñT vaalī masjidoñ meñ
ḳhvāhishoñ ke but
apnī apnī baġhloñ meñ dabā.e khaḌe haiñ
aur har baar in butoñ ko sajda karte hue
hamārā yaqīn masjid ke mīnāroñ ko chhū letā hai
ki jannat meñ bahtī shahd aur duudh
kī nahroñ ke kināroñ par hūreñ
hameñ ḳhush-āmdīd kahne ko betāb baiThī haiñ
asfal-us-sāfilīn
sajdoñ se sar uThe to apne andar jhāñknā
tum jaan loge
ham se baḌā nā-farmān koī nahīñ
hamare samne hamara rab maujud hai
magar hum apne apne maslak ki
DeDh DeDh inT wali masjidon mein
KHwahishon ke but
apni apni baghlon mein dabae khaDe hain
aur har bar in buton ko sajda karte hue
hamara yaqin masjid ke minaron ko chhu leta hai
ki jannat mein bahti shahd aur dudh
ki nahron ke kinaron par huren
hamein KHush-amdid kahne ko betab baiThi hain
asfal-us-safilin
sajdon se sar uThe to apne andar jhankna
tum jaan loge
hum se baDa na-farman koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.