ashwmedh yagya
gorī-chaTTī yaal ghanī sī
duudh aisī poshāk badan kī
lāmbe nāzuk māthe par mehñdī kā ghaav
uḌtī-girtī ḳhaak sumoñ kī
muTThī-bhar kar muñh par mil kar dil kī pyaas bujhāo
sadiyoñ ke dukh jhelte jaao
rahe safar meñ
hare mahakte khetoñ meñ ḳhush-bāsh phire
apne pīchhe aatī quvvat ke nashe meñ khoyā
raste ke har bhārī patthar ko Thokar se toḌe
aage hī aage ko dauḌe
aaj yahāñ tak aa pahuñchā hai
par vo kal ab duur nahīñ hai
jab us ke qadmoñ ke bhāle
qarya qasba shahr sabhī ko
pal-bhar meñ mismār kareñge
har shai ko tārāj kareñge
is marqad se
us marqad tak
raaj kareñge
aur phir vo din bhī aa.egā
jab ik tez sunahrā nashtar
shah-e-rag meñ is kī utregā
ḳhuun kā favvāra chhūTegā
aur vo quvvat
reñgtī aur phunkārtī quvvat
mauj meñ aa kar naach uThegī
ḳhushī se pāgal ho jā.egī
gori-chaTTi yal ghani si
dudh aisi poshak badan ki
lambe nazuk mathe par mehndi ka ghaw
uDti-girti KHak sumon ki
muTThi-bhar kar munh par mil kar dil ki pyas bujhao
sadiyon ke dukh jhelte jao
rahe safar mein
hare mahakte kheton mein KHush-bash phire
apne pichhe aati quwwat ke nashe mein khoya
raste ke har bhaari patthar ko Thokar se toDe
aage hi aage ko dauDe
aaj yahan tak aa pahuncha hai
par wo kal ab dur nahin hai
jab us ke qadmon ke bhaale
qarya qasba shahr sabhi ko
pal-bhar mein mismar karenge
har shai ko taraj karenge
is marqad se
us marqad tak
raj karenge
aur phir wo din bhi aaega
jab ek tez sunahra nashtar
shah-e-rag mein is ki utrega
KHun ka fawwara chhuTega
aur wo quwwat
rengti aur phunkarti quwwat
mauj mein aa kar nach uThegi
KHushi se pagal ho jaegi
- Book : Nirdbaan (Pg. 55)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.