asia ki mazdur aurat
taġhārī sar pe dhare tar-ba-tar pasīne se
uThā.e māmtā kā bojh nau mahīne se
dahaktī ret pe apne qadam jamā.e hue
mashaqqatoñ kī nazar se nazar milā.e hue
rutoñ ke qahr ko ye imtihān lagtī hai
ye chāñdnī se banī ik chaTān lagtī hai
hunar kī chādar-e-bā-zeb us ne pahnī hai
ma.āshiyāt kī pāzeb us ne pahnī hai
phaTe libās pe mehnat kī shaal oḌhe hai
badan ke shīshe pe lohe kā jaal oḌhe hai
har ik makān kī buniyād us ne Daalī hai
gharoñ kī shaukat-o-azmat usī kī paalī hai
vo jis kalā.ī pe be-himmatī ke ta.ane haiñ
usī ke panje meñ tāqat ke tāne-bāne haiñ
machān bāñdh ke jab chhat banā.ī jā.egī
taġhārī sar pe cement kī yahī uThā.egī
chaḌhegī zīna-ba-zīna sameTtī saarī
agarche bojh bhī bhārī hai pair bhī bhārī
ye jhuTpuTe ko thakī-hārī ghar jo jā.egī
to apne kumbe kī har bhuuk ye miTā.egī
ye yuuñ to piiTh pe patthar uThā ke chaltī hai
zamām-e-kār ko qabze meñ karke chaltī hai
kabhī kudāl chalātī hai bojh Dhotī hai
to hal chalā ke kabhī ye zamīn botī hai
kabhī ye ghar kī gavāhī meñ jaan detī hai
haveliyoñ ko itā.at kā maan detī hai
ġharīb hai so badan kā ḳhirāj detī hai
ye ḳhud ko piis ke ghar ko anaaj detī hai
ye be-bisāt hai lekin ye ġham-gusār bhī hai
vafā-shi.ār bhī hai jān-e-rozgār bhī hai
taghaari sar pe dhare tar-ba-tar pasine se
uThae mamta ka bojh nau mahine se
dahakti ret pe apne qadam jamae hue
mashaqqaton ki nazar se nazar milae hue
ruton ke qahr ko ye imtihan lagti hai
ye chandni se bani ek chaTan lagti hai
hunar ki chadar-e-ba-zeb us ne pahni hai
maashiyat ki pazeb us ne pahni hai
phaTe libas pe mehnat ki shaal oDhe hai
badan ke shishe pe lohe ka jal oDhe hai
har ek makan ki buniyaad us ne Dali hai
gharon ki shaukat-o-azmat usi ki pali hai
wo jis kalai pe be-himmati ke tane hain
usi ke panje mein taqat ke tane-bane hain
machan bandh ke jab chhat banai jaegi
taghaari sar pe cement ki yahi uThaegi
chaDhegi zina-ba-zina sameTti sari
agarche bojh bhi bhaari hai pair bhi bhaari
ye jhuTpuTe ko thaki-haari ghar jo jaegi
to apne kumbe ki har bhuk ye miTaegi
ye yun to piTh pe patthar uTha ke chalti hai
zamam-e-kar ko qabze mein karke chalti hai
kabhi kudal chalati hai bojh Dhoti hai
to hal chala ke kabhi ye zamin boti hai
kabhi ye ghar ki gawahi mein jaan deti hai
haweliyon ko itaat ka man deti hai
gharib hai so badan ka KHiraj deti hai
ye KHud ko pis ke ghar ko anaj deti hai
ye be-bisat hai lekin ye gham-gusar bhi hai
wafa-shiar bhi hai jaan-e-rozgar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.