asiri
sochtā huuñ kyā likhūñ
lafz be-mā'nī haiñ saare be-asar tahrīr hai
zehn ḳhvābīda hai
rusvā ḳhvāb kī tā'bīr hai
ek sannāTā hai taarī chār-sū
dil haiñ vīrāñ
mahfileñ sunsān haiñ
ruuh bhī majrūh hai
aur jism bhī be-jān hai
lamha lamha Das rahī hai tīrgī
baḌh rahā hai zulmat-e-shab kā fusūñ
huuñ to maiñ āzād
lekin paañv meñ zanjīr hai
sochtā huuñ kyā likhūñ
lafz be-mā'nī haiñ saare be-asar tahrīr hai
sochta hun kya likhun
lafz be-ma'ni hain sare be-asar tahrir hai
zehn KHwabida hai
ruswa KHwab ki ta'bir hai
ek sannaTa hai tari chaar-su
dil hain viran
mahfilen sunsan hain
ruh bhi majruh hai
aur jism bhi be-jaan hai
lamha lamha Das rahi hai tirgi
baDh raha hai zulmat-e-shab ka fusun
hun to main aazad
lekin panw mein zanjir hai
sochta hun kya likhun
lafz be-ma'ni hain sare be-asar tahrir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.