asli naqli
na kirdār aslī na guftār aslī
ho kis tarah duniyā meñ byopār aslī
election meñ jiite haiñ rishvat ke bal pe
vo kaise banā.eñge sarkār aslī
black market har jagah khul rahe haiñ
na hai jins aslī na bāzār aslī
inān-e-hukūmat hai qabze meñ jin ke
haqīqat meñ haiñ vo hī be-kār aslī
milāvaT kā hai duudh aur ghaas kā ghī
na ġhalle ke milte haiñ ambār aslī
banā.e hue haiñ mashīnoñ ke insān
muālij haiñ aslī na bīmār aslī
haiñ aksar avāriz kī ḳhāliq davā.eñ
na rakkhe taraqqī ne āzār aslī
na hamdard aslī na ġham-ḳhvār koī
jahāñ dekho milte haiñ makkār aslī
banā.ī hai māshūq ne naqlī sūrat
to ho kis tarah āshiq-e-zār aslī
ye mizhgān-o-abrū banā.e hue haiñ
na haiñ zulfeñ aslī na ruḳhsār aslī
hai be-kār ab asliyat kī tamanna
nahīñ haiñ parakhne ke me.aar aslī
zamīñ to zamīñ āsmāñ pe bhī ab to
savābit haiñ aslī na sayyār aslī
na kirdar asli na guftar asli
ho kis tarah duniya mein byopar asli
election mein jite hain rishwat ke bal pe
wo kaise banaenge sarkar asli
black market har jagah khul rahe hain
na hai jins asli na bazar asli
inan-e-hukumat hai qabze mein jin ke
haqiqat mein hain wo hi be-kar asli
milawaT ka hai dudh aur ghas ka ghi
na ghalle ke milte hain ambar asli
banae hue hain mashinon ke insan
mualij hain asli na bimar asli
hain aksar awariz ki KHaliq dawaen
na rakkhe taraqqi ne aazar asli
na hamdard asli na gham-KHwar koi
jahan dekho milte hain makkar asli
banai hai mashuq ne naqli surat
to ho kis tarah aashiq-e-zar asli
ye mizhgan-o-abru banae hue hain
na hain zulfen asli na ruKHsar asli
hai be-kar ab asliyat ki tamanna
nahin hain parakhne ke mear asli
zamin to zamin aasman pe bhi ab to
sawabit hain asli na sayyar asli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.