ata-e-raegan
mire siine ko apnī jagmagātī uñgliyoñ se chīrne vaale
tū mujh par mere aane vaale din ko be-jihat kar de
ki maiñ ne jis qadar jaanā hai
itne dukh uThā.e haiñ
mire andar mire saare safar kā
be-navā be-kār-pan
ātish-fishāñ laave kī sūrat saañs letā hai
ki jaise band johaḌ ke khaḌe paanī meñ kiiḌe kulbulāte haiñ
ta.affun anginat lafzoñ kī lāshoñ par bichhe
kaale kafan kā mātamī lamha
maiñ tere ilm kī baḳhshī huī majbūriyoñ ke habs meñ
apnī karāheñ nazm kartā huuñ
na jiitā huuñ na martā huuñ
mire siine ko aa kar khol
apnā ilm apnā nuur mujh se chhīn le
lekin mujhe phir se mirī hairāniyāñ de de
mere sine ko apni jagmagati ungliyon se chirne wale
tu mujh par mere aane wale din ko be-jihat kar de
ki main ne jis qadar jaana hai
itne dukh uThae hain
mere andar mere sare safar ka
be-nawa be-kar-pan
aatish-fishan lawe ki surat sans leta hai
ki jaise band johaD ke khaDe pani mein kiDe kulbulate hain
taffun anginat lafzon ki lashon par bichhe
kale kafan ka matami lamha
main tere ilm ki baKHshi hui majburiyon ke habs mein
apni karahen nazm karta hun
na jita hun na marta hun
mere sine ko aa kar khol
apna ilm apna nur mujh se chhin le
lekin mujhe phir se meri hairaniyan de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.