ata-e-tauba liqa-e-tu
Interesting Fact
Dedicated to Firaq Gorakhpuri (14th October, 1968)
terī bātoñ meñ tirā fan tere fan meñ terī baat
kyuuñ ho tere baab meñ phir kāvish-e-zāt-o-sifāt
pahūñchī ġham kī ruuh tak jin kī na koī ek baat
ishq meñ jhele haiñ tū ne aise bhī kuchh sānehāt
zindagī ko zindagī karnā koī āsāñ na thā
hazm kar ke zahr ko tū ne kiyā āb-e-hayāt
hai kahāñ ehsās kī aisī riyāzat kā javāb
hotī hai garm-e-takallum tujh se behis kā.enāt
raaz ke sīġhe meñ rakkhā thā mashiyyat ne jinheñ
vo haqā.eq ban chuke haiñ tere dil kī vārdāt
terī bāteñ sun ke āñkhoñ meñ namī sī aa.e hai
terī mahfil hai buland-az-dahriyāt-o-dīniyāt
sirf usī kī tarjumānī hai tire ash.ār meñ
jis sukūt-e-rāz-e-rangīñ ko kaheñ jān-e-hayāt
terī bāteñ haiñ ki naġhme tere naġhme haiñ ki sehr
zeb dete haiñ bhalā auroñ ko kab ye kufriyāt
tū ne jis āvāz ko paalā hai mar mar kar 'firāq'
aaj usī kī narm lau hai sham-e-mehrāb-e-hayāt
teri baaton mein tera fan tere fan mein teri baat
kyun ho tere bab mein phir kawish-e-zat-o-sifat
pahunchi gham ki ruh tak jin ki na koi ek baat
ishq mein jhele hain tu ne aise bhi kuchh sanehat
zindagi ko zindagi karna koi aasan na tha
hazm kar ke zahr ko tu ne kiya aab-e-hayat
hai kahan ehsas ki aisi riyazat ka jawab
hoti hai garm-e-takallum tujh se behis kaenat
raaz ke sighe mein rakkha tha mashiyyat ne jinhen
wo haqaeq ban chuke hain tere dil ki wardat
teri baaten sun ke aankhon mein nami si aae hai
teri mahfil hai buland-az-dahriyat-o-diniyat
sirf usi ki tarjumani hai tere ashaar mein
jis sukut-e-raaz-e-rangin ko kahen jaan-e-hayat
teri baaten hain ki naghme tere naghme hain ki sehr
zeb dete hain bhala auron ko kab ye kufriyat
tu ne jis aawaz ko pala hai mar mar kar 'firaq'
aaj usi ki narm lau hai sham-e-mehrab-e-hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.