atit ki chadar
ek rūThī udaas shaam ko jab
kitnī parteñ purānī yādoñ kī
kaise jhakjhortī haiñ aa ke mujhe
kholne ko atiit kī chādar
gher letī hai anāyās aa kar
vo jo dhundlī sī ho chukī hai ab
vahī tasvīreñ ubhar aatī haiñ
mere maazī kī hai jo parchhā.īñ
merī āñkhoñ meñ utar jaatī hai
aur mujh ko bahut rulātī hai
ek ruThi udas sham ko jab
kitni parten purani yaadon ki
kaise jhakjhorti hain aa ke mujhe
kholne ko atit ki chadar
gher leti hai anayas aa kar
wo jo dhundli si ho chuki hai ab
wahi taswiren ubhar aati hain
mere mazi ki hai jo parchhain
meri aankhon mein utar jati hai
aur mujh ko bahut rulati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.