atlantic city
zamīn-e-nūr o naġhma par
ḳhudā-e-rañg ke bikhre hue jalvaoñ ko pahchāneñ
use samjheñ. use jāneñ
yaqīñ aa jaa.e to māneñ
yahāñ to kahkashāñ muTThī meñ hai
lāl-o-javāhir pairahan par haiñ shuāoñ ke ka.ī dhabbe har ik ujle badan par haiñ
yahāñ rañgīñ mashīneñ dā.eroñ meñ jhuk ke miltī haiñ
kisī se ruuTh jaate haiñ kisī ke saath chalte haiñ
yahāñ ke sāmrī goyā.ī le lete haiñ
aur palkoñ pe hairat ke darīche khol dete haiñ
yahāñ har naf.a ke ḳhāne meñ poshīda ḳhasāra hai
fusūñ kam ho to phir bāhar kā har manzar hamārā hai
jise ham chāñd samjhe haiñ bhaTaktā sā sitāra hai
yahī sūraj se jiitā hai yahī jugnū se haarā hai
ye fitrat kā ishāra hai
chalo tanvīr-shāh! uTTho
zamin-e-nur o naghma par
KHuda-e-rang ke bikhre hue jalwaon ko pahchanen
use samjhen use jaanen
yaqin aa jae to manen
yahan to kahkashan muTThi mein hai
lal-o-jawahir pairahan par hain shuaon ke kai dhabbe har ek ujle badan par hain
yahan rangin mashinen daeron mein jhuk ke milti hain
kisi se ruTh jate hain kisi ke sath chalte hain
yahan ke samri goyai le lete hain
aur palkon pe hairat ke dariche khol dete hain
yahan har nafa ke KHane mein poshida KHasara hai
fusun kam ho to phir bahar ka har manzar hamara hai
jise hum chand samjhe hain bhaTakta sa sitara hai
yahi suraj se jita hai yahi jugnu se haara hai
ye fitrat ka ishaara hai
chalo tanwir-shah! uTTho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.