atomi tajraba
aag ke is dahakte hue gole ko
dast-e-fitrat ne barfīlī chādar uḌhā kar
bahut hī salīqe se ThanDā kiyā
vaqt ke bahr-e-zaḳhḳhār meñ
lākhoñ sadiyoñ ke dariyā utarne ke baad
is zamīñ ko hamāre liye rahne sahne ke qābil kiyā
lekin insān ab
ilm-o-dānish kī saarī taraqqī pe
daur-e-jahālat kī tash.hīr karne lagā
apnī jhūTī anā kī ġhizā ke liye
kurra-e-arz kī ātish-e-sard meñ
intihā.ī ḳhatarnāk īñdhan lagāne lagā
bāġh-e-hastī ko dozaḳh banāne lagā
aag ke is dahakte hue gole ko
dast-e-fitrat ne barfili chadar uDha kar
bahut hi saliqe se ThanDa kiya
waqt ke bahr-e-zaKHKHar mein
lakhon sadiyon ke dariya utarne ke baad
is zamin ko hamare liye rahne sahne ke qabil kiya
lekin insan ab
ilm-o-danish ki sari taraqqi pe
daur-e-jahaalat ki tashhir karne laga
apni jhuTi ana ki ghiza ke liye
kurra-e-arz ki aatish-e-sard mein
intihai KHatarnak indhan lagane laga
bagh-e-hasti ko dozaKH banane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.