atropine
jaise sahrā meñ koī sulagtā badan
aañkh kī dhund ko
kuchh sarāboñ kī manzar-kashī ke havāle kare
tez hotī huī saañs
sar par barastī huī aag se
be-ḳhabar
kuchh hayūloñ kā pīchhā kare
tez-tar dauḌtī dhaḌkaneñ
āḳhirī saañs kā nauha kahne lagīñ
aur vo
āḳhirī buuñd ko
apne hoñToñ pe jamtī huī
pīḌhiyoñ se khurachne kī koshish kare
phir kahe
ye to sahrā nahīñ
balki vo ābshāroñ phaloñ aur sabze kī
ḳhush-rang vaadī meñ hai
ab use jaise koī reversal kī chāhat nahīñ
jaise sahra mein koi sulagta badan
aankh ki dhund ko
kuchh sarabon ki manzar-kashi ke hawale kare
tez hoti hui sans
sar par barasti hui aag se
be-KHabar
kuchh hayulon ka pichha kare
tez-tar dauDti dhaDkanen
aaKHiri sans ka nauha kahne lagin
aur wo
aaKHiri bund ko
apne honTon pe jamti hui
piDhiyon se khurachne ki koshish kare
phir kahe
ye to sahra nahin
balki wo aabshaaron phalon aur sabze ki
KHush-rang wadi mein hai
ab use jaise koi rewersal ki chahat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.