auj-bin-unuq
Interesting Fact
According to Qisas-ul-Abniya, Uj ibn Anaq was a giant figure, mythical character from the time of Prophet Moses. His feet touched the bottom of the sea and his head brushed off the sky. His soul was in his ankles and when Prophet Moses struck his ankles with his staff, the dangerous monster perished.
shahr kī sab se baḌī hotel kī chhat par
us kā sar mañDlā rahā thā
aur sāhil ke qarīb
sard aur mahfūz tah-ḳhāne kī tah ko
pair us kā chhū rahā thā
haa.e vo kitnā baḌā thaa!
us ke daa.eñ haath meñ jakḌe hue the
kār-ḳhāne kampaniyāñ bāzār bank
aur baa.eñ haath par us ke dhare the
baar theTar hoTleñ juue ke adde qahba-ḳhāne
sar-nigūñ us ke añgūThoñ ke ishāroñ par siyāsat kī mashīnoñ ke baTan
āhanī shānoñ par us ke
be-zamīñ be-āshiyāñ kaale parinde jhūlte the
dum nachā kar par phulā kar
har ghaḌī us ko havā kā ruḳh batāte
us kī sāñsoñ kī sifārish kī fazā meñ jī rahe the
naaf us kī markaz-e-saql-e-zamāna
peT us kaa, peT bharne ke vasā.el kā ḳhazāna
vo saḌak se daftaroñ se aur gharoñ se
reñgte baune uThātā
apnī kuhnī aur kalā.ī par chalātā
hasab-e-manshā zā.iqe ke taur par un ko chabātā jā rahā thā
us kā saaya chaar jānib shahr par chhāyā huā thā
haa.e vo kitnā baḌā thaa!
jaan lekin us qavī-haikal kī us ke gardan-o-sar meñ na thī
jaan thī Taḳhnoñ meñ us kī
us ke Taḳhne
sard aur mahfūz tah-ḳhāne kī tah se thoḌā uupar
duur tak phaile hue be-rūh sāhil par ayaañ the
aur vahīñ ik dil-zada bezār 'mūsā'
shahr kī sab se baḌī hotel kī chhat ko chhū na sakne se ḳhafīf
nā-balad Taḳhnoñ kī kamzorī se dev-e-asr kī
apne imkāñ aur irāde ke asā kī zarb se nā-āshnā
nīm-murda sard be-his ret par soyā huā thā
shahr ki sab se baDi hotel ki chhat par
us ka sar manDla raha tha
aur sahil ke qarib
sard aur mahfuz tah-KHane ki tah ko
pair us ka chhu raha tha
hae wo kitna baDa tha!
us ke daen hath mein jakDe hue the
kar-KHane kampaniyan bazar bank
aur baen hath par us ke dhare the
bar theTar hoTlen jue ke adde qahba-KHane
sar-nigun us ke anguThon ke ishaaron par siyasat ki mashinon ke baTan
aahani shanon par us ke
be-zamin be-ashiyan kale parinde jhulte the
dum nacha kar par phula kar
har ghaDi us ko hawa ka ruKH batate
us ki sanson ki sifarish ki faza mein ji rahe the
naf us ki markaz-e-saql-e-zamana
peT us ka, peT bharne ke wasael ka KHazana
wo saDak se daftaron se aur gharon se
rengte baune uThata
apni kuhni aur kalai par chalata
hasab-e-mansha zaiqe ke taur par un ko chabaata ja raha tha
us ka saya chaar jaanib shahr par chhaya hua tha
hae wo kitna baDa tha!
jaan lekin us qawi-haikal ki us ke gardan-o-sar mein na thi
jaan thi TaKHnon mein us ki
us ke TaKHne
sard aur mahfuz tah-KHane ki tah se thoDa upar
dur tak phaile hue be-ruh sahil par ayan the
aur wahin ek dil-zada bezar 'musa'
shahr ki sab se baDi hotel ki chhat ko chhu na sakne se KHafif
na-balad TaKHnon ki kamzori se dew-e-asr ki
apne imkan aur irade ke asa ki zarb se na-ashna
nim-murda sard be-his ret par soya hua tha
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.