auqat
dimāġhoñ meñ pakte hue garm laave ke aage
tamanche se ugle hue garm sayyāl siise kī auqāt kyā hai
zabānoñ pe khilte hue aql-o-dānish ke phūloñ pe
ġhurrāhaToñ kī garaj meñ barastī huī gāliyāñ
apnī lāya.aniyat jāntī haiñ
gul-ruḳhoñ pe ye zanjīr-o-āhan se Dhaa.e ga.e
sab sitam apnī nā-pā.edārī pe mātam-kunāñ haiñ
udhaḌtī huī jild jismoñ se
nāḳhun laraztī huī uñgliyoñ se
sar āshuftagāñ kī Dhalaktī huī gardanoñ se
utarte haiñ lekin uluum aur qalam jāvedāñ haiñ
zamānoñ kī uḌtī huī raakh meñ
hurriyat ke tarānoñ kī ḳhushbū basī hai
vahī sab tarāne jinheñ gaane vāloñ ko
dahkī huī bhaTTiyoñ meñ jalāyā gayā thā
vo dīvāngī ke payambar
manoñ ḳhaak oḌhe hue jāgte haiñ
jinheñ sach ke parchār ke jurm meñ
zahr-pyāla pilāyā gayā thā
fasīloñ se shab ke añdhere meñ
pheñkī ga.ī masḳh lāshoñ kā Dar
ūd-o-ambar se mahkī masahrī pe
bechain karvaT badalte hue
shaah kī aañkh meñ jāgtā hai
dimaghon mein pakte hue garm lawe ke aage
tamanche se ugle hue garm sayyal sise ki auqat kya hai
zabanon pe khilte hue aql-o-danish ke phulon pe
ghurrahaTon ki garaj mein barasti hui galiyan
apni layaniyat jaanti hain
gul-ruKHon pe ye zanjir-o-ahan se Dhae gae
sab sitam apni na-paedari pe matam-kunan hain
udhaDti hui jild jismon se
naKHun larazti hui ungliyon se
sar aashuftagan ki Dhalakti hui gardanon se
utarte hain lekin ulum aur qalam jawedan hain
zamanon ki uDti hui rakh mein
hurriyat ke taranon ki KHushbu basi hai
wahi sab tarane jinhen gane walon ko
dahki hui bhaTTiyon mein jalaya gaya tha
wo diwangi ke payambar
manon KHak oDhe hue jagte hain
jinhen sach ke parchaar ke jurm mein
zahr-pyala pilaya gaya tha
fasilon se shab ke andhere mein
phenki gai masKH lashon ka Dar
ud-o-ambar se mahki masahri pe
bechain karwaT badalte hue
shah ki aankh mein jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.