ai mirī jaañ mujhe is darja shikāyat se na dekh
aaj tak maiñ ne tire husn kī bāteñ kī haiñ
din guzāre haiñ tire ġham ke sahāre aksar
terī yādoñ se charāġhāñ ka.ī rāteñ kī haiñ
terī ḳhushbū se mahaktī haiñ fazā.eñ dil kī
ḳhāmushī hai tirī āvāz kā āhang liye
jo hasīñ shai hai mirī aañkh ke ā.īne meñ
terī shoḳhī tirī ra.anā.ī tirā rang liye
mere har sher meñ aahaT hai tire qadmoñ kī
mere har naqsh meñ pinhāñ hai tirā aks-e-shabāb
aaj lekin mirī jaañ hāl-e-dil-e-zār na pūchh
aaj kī raat mirī aañkh meñ kuchh aur haiñ ḳhvāb
tujh ko ma.alūm hai kis tarah tirī ulfat meñ
maiñ ne har dard har ik ranj bhulā rakkhā thā
ik taraf haT ke shab-o-roz ke hangāmoñ se
tere jalvoñ kā parī-ḳhāna sajā rakkhā thā
bhuul kar ġham-kada-e-zīst kī tārīkī ko
nūr-e-ummīd se shāmoñ ko jalā rakhā thā
kahīñ dāman meñ liye phirtā thā ḳhurshīd ko saath
āstīñ meñ kahīñ mahtāb chhupā rakhā thā
lekin ai jān-e-vafā jān-e-tarab jān-e-umīd
dil pe ik dard-e-pur-āshob kī yalġhār hai aaj
ḳhirman-e-harf-o-navā ko hai bachānā mushkil
be-amāñ sho.ala-e-betābi-e-iz.hār hai aaj
har añdhere ko tamanna hai sulag uThne kī
har ḳhamoshī ko sadā banñe pe isrār hai aaj
har-nafas meñ hai mire dhaar kisī ḳhanjar kī
har qadam meñ mire zanjīr kī jhankār hai aaj
aaj ik aur hī aalam hai mirī nazroñ meñ
jis kā har zarra hai vāmāñdgī-e-ġham se niDhāl
jis ke tārīk ḳharāboñ meñ haiñ barbād vo log
jin ko ulfat kā hai yaarā na masarrat kī majāl
jin kī āñkhoñ meñ faqat zulmat-e-fardā ke haiñ ḳhvāb
jin ke chehroñ pe faqat sāya-e-andoh-o-malāl
aaj kī shab koī afsāna-e-dilkash mat chheḌ
merī āñkhoñ ko yūñhī ashk-fishāñ rahne de
mere sapne meñ dahakne de yahī ġham kā alaav
mere chehre pe udāsī kā dhuāñ rahne de
kal vahī naġhma jagā lūñgā laboñ par apne
aaj kī raat mujhe mahv-e-fuġhāñ rahne de
tujh ko ma.alūm hai kuchh ai mirī ḳhushiyoñ kī rafīq
ġham-e-daurāñ mirī tanhā.ī se kyā kahtā hai
jin hasīñ lamhoñ se ham bunte haiñ ḳhushiyāñ apnī
in meñ kitnoñ kī tamannāoñ kā ḳhuuñ bahtā hai
laakh bahlā.ūñ maiñ dil ko tirī ulfat se magar
saaya ik mere tabassum meñ basā rahtā hai
aaj kī raat isī sāya-e-be-nām ke naam
aaj kī raat faqat nāla-e-mātam hī sahī
gul-e-pazhmurda pe chup-chāp luTāne ke liye
kīsa-e-chashm meñ sarmāya-e-shabnam hī sahī
aur bhī ġham haiñ zamāne meñ mohabbat ke sivā
aaj kī shab mujhe karne de zarā un kā hisāb
ai mirī jaañ mujhe is darja shikāyat se na dekh
aaj kī raat mirī aañkh meñ kuchh aur haiñ ḳhvāb
ai meri jaan mujhe is darja shikayat se na dekh
aaj tak main ne tere husn ki baaten ki hain
din guzare hain tere gham ke sahaare aksar
teri yaadon se charaghan kai raaten ki hain
teri KHushbu se mahakti hain fazaen dil ki
KHamushi hai teri aawaz ka aahang liye
jo hasin shai hai meri aankh ke aaine mein
teri shoKHi teri ranai tera rang liye
mere har sher mein aahaT hai tere qadmon ki
mere har naqsh mein pinhan hai tera aks-e-shabab
aaj lekin meri jaan haal-e-dil-e-zar na puchh
aaj ki raat meri aankh mein kuchh aur hain KHwab
tujh ko malum hai kis tarah teri ulfat mein
main ne har dard har ek ranj bhula rakkha tha
ek taraf haT ke shab-o-roz ke hangamon se
tere jalwon ka pari-KHana saja rakkha tha
bhul kar gham-kada-e-zist ki tariki ko
nur-e-ummid se shamon ko jala rakha tha
kahin daman mein liye phirta tha KHurshid ko sath
aastin mein kahin mahtab chhupa rakha tha
lekin ai jaan-e-wafa jaan-e-tarab jaan-e-umid
dil pe ek dard-e-pur-ashob ki yalghaar hai aaj
KHirman-e-harf-o-nawa ko hai bachana mushkil
be-aman shoala-e-betabi-e-izhaar hai aaj
har andhere ko tamanna hai sulag uThne ki
har KHamoshi ko sada banne pe israr hai aaj
har-nafas mein hai mere dhaar kisi KHanjar ki
har qadam mein mere zanjir ki jhankar hai aaj
aaj ek aur hi aalam hai meri nazron mein
jis ka har zarra hai wamandgi-e-gham se niDhaal
jis ke tarik KHarabon mein hain barbaad wo log
jin ko ulfat ka hai yara na masarrat ki majal
jin ki aankhon mein faqat zulmat-e-farda ke hain KHwab
jin ke chehron pe faqat saya-e-andoh-o-malal
aaj ki shab koi afsana-e-dilkash mat chheD
meri aankhon ko yunhi ashk-fishan rahne de
mere sapne mein dahakne de yahi gham ka alaw
mere chehre pe udasi ka dhuan rahne de
kal wahi naghma jaga lunga labon par apne
aaj ki raat mujhe mahw-e-fughan rahne de
tujh ko malum hai kuchh ai meri KHushiyon ki rafiq
gham-e-dauran meri tanhai se kya kahta hai
jin hasin lamhon se hum bunte hain KHushiyan apni
in mein kitnon ki tamannaon ka KHun bahta hai
lakh bahlaun main dil ko teri ulfat se magar
saya ek mere tabassum mein basa rahta hai
aaj ki raat isi saya-e-be-nam ke nam
aaj ki raat faqat nala-e-matam hi sahi
gul-e-pazhmurda pe chup-chap luTane ke liye
kisa-e-chashm mein sarmaya-e-shabnam hi sahi
aur bhi gham hain zamane mein mohabbat ke siwa
aaj ki shab mujhe karne de zara un ka hisab
ai meri jaan mujhe is darja shikayat se na dekh
aaj ki raat meri aankh mein kuchh aur hain KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.