aur do aankhen
nadī ravāñ hai
uupar pul se rail guzartī hai
pul se nīche
sub.h kā sūraj jal-dhāre par
jhilmil dhuup se
saat suroñ meñ nazmeñ likhtā hai
chāñdī chāñdī retīle sāhil par
tum qadmoñ se phuul khilātī ho
aur do āñkheñ
is bohrānī andhe bahre gūñge yug meñ
surḳh zamīñ kī nam miTTī se
dasht kī khoī ḳhushbū chuntī haiñ
nadi rawan hai
upar pul se rail guzarti hai
pul se niche
subh ka suraj jal-dhaare par
jhilmil dhup se
sat suron mein nazmen likhta hai
chandi chandi retile sahil par
tum qadmon se phul khilati ho
aur do aankhen
is bohrani andhe bahre gunge yug mein
surKH zamin ki nam miTTi se
dasht ki khoi KHushbu chunti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.