Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur hawa chup rahi

Translated By: Ralph Russell

Iftikhar Arif

Iftikhar Arif

aur hawa chup rahi

Iftikhar Arif

MORE BYIftikhar Arif

    shāḳh-e-zaitūn par kam-suḳhan fāḳhtāoñ ke itne basere ujāḌe ga.e

    aur havā chup rahī

    be-karāñ āsmānoñ pihnā.iyāñ be-nasheman shikasta paroñ tag-o-tāz par bain kartī rahīñ

    aur havā chup rahī

    zard parcham uḌātā huā lashkar-e-be-amāñ gul-zamīnoñ ko pāmāl kartā rahā

    aur havā chup rahī

    ārzūmand āñkheñ bashārat-talab dil duāoñ ko uTThe hue haath sab be-samar rah ga.e

    aur havā chup rahī

    aur tab habs ke qaharmāñ mausamoñ ke azaab in zamīnoñ pe bheje ga.e

    aur munādī karā ga.ī

    jab kabhī rañg ḳhushbuoñ uḌānoñ āvāz aur ḳhvāboñ tauhīn jā.egī

    ye azaab in zamīnoñ pe aate raheñge

    AND THE WIND WAS SILENT

    shaKH-e-zaitun par kam-suKHan faKHtaon ke itne basere ujaDe gae

    aur hawa chup rahi

    be-karan aasmanon ki pihnaiyan be-nasheman shikasta paron ki tag-o-taz par bain karti rahin

    aur hawa chup rahi

    zard parcham uData hua lashkar-e-be-aman gul-zaminon ko pamal karta raha

    aur hawa chup rahi

    aarzumand aankhen bashaarat-talab dil duaon ko uTThe hue hath sab be-samar rah gae

    aur hawa chup rahi

    aur tab habs ke qaharman mausamon ke azab in zaminon pe bheje gae

    aur munadi kara di gai

    jab kabhi rang ki KHushbuon ki uDanon ki aawaz ki aur KHwabon ki tauhin ki jaegi

    ye azab in zaminon pe aate rahenge

    AND THE WIND WAS SILENT

    RECITATIONS

    Iftikhar Arif

    Iftikhar Arif,

    Iftikhar Arif

    aur hawa chup rahi Iftikhar Arif

    Source :
    • Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 179)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now