aur jo dastaras mein nahin
jab vo ġhusse meñ hotī hai to
kuchh bhī kah jaatī hai
dukh to hotā hai par
asal meñ mujh ko tashvīsh rahtī hai
is baare jo
us ke hoñToñ pe aatā nahīñ
dil meñ rah jaatā hai
dost kitne haiñ jo
dil meñ aane se pahle hī bak dete haiñ
kahte rahte haiñ achchhī burī
aur vo dost jo har jagah
baiThā rahtā hai ḳhāmosh
bas sar hilātā hai haañ maiñ
magar kuchh bhī kahtā nahīñ
koī laavā hai is meñ ubaltā huā
jānñe kā use
kis qadar ishtiyāq hai mujhe
maañ kī āñkhoñ meñ
rahmat kī ThanDak
mujhe maañ ke hāthoñ meñ
shafqat kī hiddat
mujhe maañ ke dil meñ
duāoñ kī kasrat
bahut hai yaqīnan bahut hai
magar mujh ko vo pyaar bhī dekhnā hai
jo sattar gunā hai
pahāḌoñ se lag kar nazar ruk sī jaatī hai
dil un kī haibat se larzāñ sā rahtā hai
par kāñpte kāñpte bhī
yahī zehn meñ gūñjtā hai
ki us paar kyā hai
jo āñkhoñ se ojhal hai
bas dekh letā huuñ maiñ
nazm meñ nazm maujūd hai
nazm meñ nazm kā zikr hai
haañ magar
nazm se bhī ziyāda mujhe
nazm se māvarā nazm kī fikr hai
jab wo ghusse mein hoti hai to
kuchh bhi kah jati hai
dukh to hota hai par
asal mein mujh ko tashwish rahti hai
is bare jo
us ke honTon pe aata nahin
dil mein rah jata hai
dost kitne hain jo
dil mein aane se pahle hi bak dete hain
kahte rahte hain achchhi buri
aur wo dost jo har jagah
baiTha rahta hai KHamosh
bas sar hilata hai han main
magar kuchh bhi kahta nahin
koi lawa hai is mein ubalta hua
jaanne ka use
kis qadar ishtiyaq hai mujhe
man ki aankhon mein
rahmat ki ThanDak
mujhe man ke hathon mein
shafqat ki hiddat
mujhe man ke dil mein
duaon ki kasrat
bahut hai yaqinan bahut hai
magar mujh ko wo pyar bhi dekhna hai
jo sattar guna hai
pahaDon se lag kar nazar ruk si jati hai
dil un ki haibat se larzan sa rahta hai
par kanpte kanpte bhi
yahi zehn mein gunjta hai
ki us par kya hai
jo aankhon se ojhal hai
bas dekh leta hun main
nazm mein nazm maujud hai
nazm mein nazm ka zikr hai
han magar
nazm se bhi ziyaada mujhe
nazm se mawara nazm ki fikr hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.