Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aur kya chahiye jine ke liye

Sada Ambalvi

aur kya chahiye jine ke liye

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    kaun shai se hai duniyā tirī mahrūm batā

    aur kyā chāhiye jiine ke liye bol zarā

    aaj bhī raah tirī dekh rahā hai koī

    aaj bhī jalte haiñ āñkhoñ ke diye tere liye

    phuul hoñToñ pe tabassum ke sajā kar koī

    muntazir aaj bhī hai tere liye tere liye

    kyā javāz aur ho jiine ke liye bol 'sadā'

    aur kyā chāhiye jiine ke liye bol zarā

    aaj bhī phuul khilā hai tirī bagiyā meñ nayā

    kitnī pyārī hai zarā dekh to muskān is

    aaj bhī chheḌā hai koyal ne koī raag nayā

    kitnī mīThī hai zarā sun to sahī taan is

    aaj bhī vaqt pe sūraj ne hai phir dastak

    aaj bhī sub.h ugī kokh se phir pūrab

    aaj bhī shaam ke māthe pe sajegā sindūr

    aaj bhī maañg sitāroñ se bharegī shab

    aur bhī kitne manzar haiñ suhāne dilkash

    band haiñ terī nigāheñ inheñ khol zarā

    kaun shai se hai duniyā tirī mahrūm batā

    aur kyā chāhiye jiine ke liye bol zarā

    kaun si shai se hai duniya teri mahrum bata

    aur kya chahiye jine ke liye bol zara

    aaj bhi rah teri dekh raha hai koi

    aaj bhi jalte hain aankhon ke diye tere liye

    phul honTon pe tabassum ke saja kar koi

    muntazir aaj bhi hai tere liye tere liye

    kya jawaz aur ho jine ke liye bol 'sada'

    aur kya chahiye jine ke liye bol zara

    aaj bhi phul khila hai teri bagiya mein naya

    kitni pyari hai zara dekh to muskan is ki

    aaj bhi chheDa hai koyal ne koi rag naya

    kitni miThi hai zara sun to sahi tan is ki

    aaj bhi waqt pe suraj ne hai phir di dastak

    aaj bhi subh ugi kokh se phir purab ki

    aaj bhi sham ke mathe pe sajega sindur

    aaj bhi mang sitaron se bharegi shab ki

    aur bhi kitne hi manzar hain suhane dilkash

    band hain teri nigahen tu inhen khol zara

    kaun si shai se hai duniya teri mahrum bata

    aur kya chahiye jine ke liye bol zara

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Ghulam Abbas Khan

    Ghulam Abbas Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now