aur main bench pe akeli baiThi hun
bārishoñ kā haath thāme aaj maiñ ne bahut der tak walk kī
bench pe baiTh kar dhīre dhīre lambe gahre saañs liye
aur phir kaafī der tak āñkheñ tumhāre chehre pe jamā.e baiThī rahī
binā kisī vaj.h ke maiñ hañsī aur der tak hañstī rahī
tanhā.ī kā canvas bahut vasī.a hai
magar ek mukammal ḳhāmoshī use sairāb karne ko kaafī hai
guftugū kī ḳhvāhish hī rahī
samā.ateñ sairāb haiñ aur bīnā.ī jāgtī hai
tumhāre naam kuchh chiTThiyāñ kab se likh ke rakhīñ thiiñ
aaj havā ke sipurd kar diiñ
jāntī huuñ fāsla nā-qābil-e-tasḳhīr hai
magar dil hai ki apnī man-māniyāñ kartā un fāsloñ ko palak jhapakne meñ tai kartā jaatā hai
aur maiñ bench pe akelī baiThī huuñ
barishon ka hath thame aaj main ne bahut der tak walk ki
bench pe baiTh kar dhire dhire lambe gahre sans liye
aur phir kafi der tak aankhen tumhaare chehre pe jamae baiThi rahi
bina kisi wajh ke main hansi aur der tak hansti rahi
tanhai ka canwas bahut wasia hai
magar ek mukammal KHamoshi use sairab karne ko kafi hai
guftugu ki KHwahish hi rahi
samaaten sairab hain aur binai jagti hai
tumhaare nam kuchh chiTThiyan kab se likh ke rakhin thin
aaj hawa ke sipurd kar din
jaanti hun fasla na-qabil-e-tasKHir hai
magar dil hai ki apni man-maniyan karta un faslon ko palak jhapakne mein tai karta jata hai
aur main bench pe akeli baiThi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.